Thursday, 31 March 2011

Hwa thami thi zaror lekin,
Wo sham jese sisak rahi thi,
K zrd patton ne andhion se,
Ajib Qisa suna dia tha
K jsko sun kar tmam patte
Sisak rhe the Biluk rhe the
Jane kis sanihe k ghum me
Shajr jarron se ukhar rhe the
Bohat talasha tha ham ne tumko,
Hr aik rasta,
Har aik wadi,
Hr aik parbt,
Hr aik ghati,

Mgr kahin se khabr na aai,
Ye keh k hm ne dil ko tala,
Hawa thame gi to dekh len ge,
Hum us k raston ko dhond lain ge
Mgr hmari ye khush khayali,
Jo hum ko brbad kar gai thi,
Hawa thami thi zaror lekin,
Bari hi mudat guzar chuki thi,
Hamare balon k junglon mein,
Sufaid chandi utar chuki thi,
Falak pe taare nahi rahe thay,
Gulab saare nahi rahe thay,
Wo jin se basti thi dil ki basti
Wo log saare nahi rhe thay,
Magar
Ye almiya sab se bala-tar tha,
K hum tumhare nahi rahe thay,
K tum hamare nahi rahe thay,
Hawa thami thi zaroor lekin,

Bari hi mudat guzar chuki thi!

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home