Laahaq hai yahan marz mohabbat ka sabhi ko,
Is shehar k logon mein wabaa aam buhat hai.
Had darja sharafat ka orha hai libada,
Aur dil mein haqaarat ki balaa aam buhat hai.
Rishton ka yahan paas to rakhtay hain sabhi par,
Hairat hai k lutnay ki sadaa aam buhat hai.
Daawa hai k har fard wafadaar yahan hai,
Hai darj kitaabon mein jafa aam buhat hai.
Tum naik tamannaein boht rakhtay ho
Qateel,
Is shehar mein naiki ki Saza aam buhat hai...
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home