Na shab-o-roz hi badly hein, na hal acha ha
Kis brahman ne kaha tha k yeh sal acha ha
.
Ham k dono k giraftar rhy, janty hein
Dam-e-dunya se kahein zulf ka jal acha ha
.
Meine pocha tha k akhir yeh taghaful kb tak?
Muskaraty huay boly k sawal acha ha
.
Dil na many bhe to aeisa ha k gahè gahè
Yar bè faiz se halka sa malal acha ha
.
Lazzatein qurb-o-judai ki hein apni apni
Mustakil hijr hi acha na wisal acha ha
.
Rehrowan-e-Rah-e-ulfat Ka muqaddar maloom
In ka aghaz hi acha na mal acha ha
.
Dosti apni jagah par yeh haqeeqat ha FARAZ
Teri ghazloon se kahein tera ghazaal acha ha.
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home