Friday 2 March 2012

Koi mousam bhi hum ko raas nahin
tu nahin hay tou kuch bhi paas nahin
ek muddat say dil k paas ho tum
ek muddat say dil udas nahin
jub say dekha hay shaam aankhon mein
tub say meray qayam hawas nahin
mere lehje mein us ki khushbo hay
us ki baaton mein meri baas nahin
Jitna Shaffaf hay tera aanchal
Utna ujla mera libaas nahin
samnay meray ek darya hay
hont sukhe hain phir bhi pyas nahin
jis ko chaha hay dil-o-jan say saqi
jane woh kion nazar shinaas nahin

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home