Friday, 8 April 2011

Bohot dino ki baat hai
Fiza ko yaad bhi nahin
Yeh baat aaj ki nahin
Bohot dino ki baat hai
shabab per bahar thi
Fiza bhi khushganwar thi
Na jaane kyon machal pada
Main apne ghar se chal pada
Kisi ne mujhko rok kar
Badi ada se tok kar
Kaha tha laut aaiye
Meri kasam na jaiye
Magar mujhe khabar na thi
Mahaol per nazar na thi
Na jaane kyon machal pada
Main apne ghar se chal pada
Shahar se phir aagaya
Khayal tha ke paa gaya
Use jo mujhse door thi
Magar meri zaroor thi
Aur ik haseen shaam ko
Main chal pada salaam ko
Gali ka rang dekhkar
Nai umang dekhkar
Mujhe badi khushi hui
Main kuch isi khushi mein tha
Kisi ne jhank kar kaha
Paraye ghar se jaiye
Meri kasam na aiye
Wohi haseen shaam hai
Bahar jiska naam hai..
Chala hoon ghar ko chor kar
Na jaane jaoonga kidhar
Koi nahin jo rok kar
Koi nahin jo tok kar
Kahe ki laut aiye
Meri kasam na jaiye

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home