Monday 5 March 2012

na humsafr tha na rahbar tha
shikasta pa tha main bay khbr tha
hazaroun meeeloun ki ek musafat
chahaar simtoun cy mery tanha
wajood k gird apna tana bunay khari thi
ajb ghari thi
khuda.a.busr.o.sukhan ki ankhoun pa kaala chashma laga hua tha
haseen lafzoun our achay maanoun smait mujh cy khuda khafa tha
k mousamo ki tamam sazish b kamran thi khilaf mery
k mery andr jo kawishoun ka baseeet sehra tha aek nuqtay pa aa ruka tha
k soch maflouj ho gai thi
dawaat sokhi hui parhi thi
tmam manzar thy dhund main doubay zameen ki gardish ruki hui thi
k mery meday main zard faqoun ki surkh lakri sulag rahi thi
khuda ki lathi chatakh gai thi
hawa ko demak lgi hui thi
udasioun ka taweel mosum mery badn ko jakar raha tha
naheef hathoun cy main khala ki lateef dori pukr raha tha
mera badan tha kaheen muaallaq wajood sara laho laho tha
or aesay mosum main sirf tou tha
hann aesay mosum main sirf tou ha
k jis nay mery qadam zameen pa jama dia hain
tama parday utha diay hain
l mery zakhmoun pa rakh k marham tou sans leena sikha rah ha
mery badan k masaam try lateef bosoun cy jagtay hain
k meri khatir tou banjh dharti cy sbz mosam uga raha ha
bureeda ungli ki murda poorun cy zinda lafzoun ka silsila phr qalam ki nanni c nouk wadi pa chah gaya ha
yeh tera mosum jo aa gaya ha

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home