aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
us ke baad aaye jo azaab aaye
baam-e-miinaa se maahataab utare
dast-e-saaqii me aftaab aaye
har rag-e-Khoon mein phir charaaGaa ho
saamane phir wo benaqaab aaye
umr ke har waraq pe dil ko nazar
teri meher-o-wafa ke baab aaye
kar rahaa thaa Gam-e-jaha kaa hisaab
aaj tum yaad behisaab aaye
na gai tere Gam ki saradaari
dil me yu roz inqalaab aaye
jal uthe bazm-e-Gair ke dar-o-baam
jab bhii ham Khaanama Kharaab aaye
is tarah apani Khamashi gunji
goya har simt se jawaab aaye
'Faiz' thi raah sar basar manzil
ham jahaa pahuNche kaamayaab aaye
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home