Thursday 31 March 2011

Usay kehna,

Tumhein Hum Kesay Bhool Saktay Hain,

K,

Ye Gulab B Tera Aks Hai,

Ye Sitara B Tera Naqsh Hai,

Ye Chand Tumhari Chahat Hai,

Bas Tujko Hi Sochtay Rehna,

Apnay Dil Ki Rahat Hai,


Usay Kehna,

Tumhein Hum Yad Kartay Hain,

Pooray Chand Ki Raton Me,

Sab Khushi Ki Baton Me,

Kbi Sawan Me,

Barsaton Me,

Kbi Be-Jan Lamhon Me,

Kbi Anjan Raston Me,

Tumhein Hum Yad Kartay Hain,

Tumhein Hum Kesay Bhool Saktay Hain....

 Lafz tooty , lab-E-izhaar tak aatay aatay,

Mar gaye hum tere meyaar tak aatay aatay.

Hum samajhtay thay k kuch waqt lagay ga shaayed,

Ik inkaar ko iqraar tak aatay aatay.

Haath rakhna parra seenay pe hamain bhi aakhir,

Dil kahaan rehta hy dil'daar tak aatay aatay.

Aik lamhay ki musaafat bhi barri hoti hy,

Hum ko to umar lagi yaar tak aatay aatay..

Mujko hr roz ye hota ha guman
Sham k Ba'ad.


Aj hr hall Ma jal jaye gi jaan
Sham k Ba'ad.


Aisi Brbadi kbi dekhi na ho gi Tmne,
Na koi Rakh,
Na Shohla,
Na Dhuan
Sham k Ba'ad.


Is Tarah huti hai
Barish koi andr andr,
Jeise Rota ho koi Chup k yahan
Sham k Ba'ad.


Jb kisi Bhole huye Dukh pe nazr Parh jaye,
Ashk phir Mere ho jate he Rwan
Sham k Ba'ad.


Nend ati hi nai Ankhon ki Dehlezon tk,


Khali Reh jata hai aksar yeh Makan
Sham k Ba'ad.

Laahaq hai yahan marz mohabbat ka sabhi ko,

Is shehar k logon mein wabaa aam buhat hai.

Had darja sharafat ka orha hai libada,

Aur dil mein haqaarat ki balaa aam buhat hai.

Rishton ka yahan paas to rakhtay hain sabhi par,

Hairat hai k lutnay ki sadaa aam buhat hai.

Daawa hai k har fard wafadaar yahan hai,

Hai darj kitaabon mein jafa aam buhat hai.

Tum naik tamannaein boht rakhtay ho

Qateel,

Is shehar mein naiki ki Saza aam buhat hai...

 Phir Us K Jaate
Hi yE DiL Sunsaan Ho K Reh Gaya

Acha BhaLa Ek Shehar Tha, Veeran Ho K Reh Gaya

Har Naqsh, BaatiL Ho Gaya Ab K Dayar-E-HiJJer mE!

Ek Zakhm Guzre Waqt Ka Mehmaan Ho K Reh Gaya

Kuch Din MuJhy, Aawaz Di Logon nE Us k Naam sE!

Phir Shehar Bhar mE Wo Meri Pehchaan Ho K Reh Gaya

Ek Khuwab Ho K Reh Gayein GuLshan sE Apni Nisbatein!

DiL Raiza-Raiza, Kaanch Ka GuLdaan Ho K Reh Gaya..

Saza pe chor diya kuch jaza pe  chor diya.

Har ek kam ko main ne khuda pe chor diya.

Wo muj ko yaad rakhe ga ya phir bhula dega,

Usi ka kam tha us ki raza pe chor diya.

Ab us ki marzi bujha de ya phr jala rakhe.

Chiragh hum ne jala kar huwa pe chor diya

Ab us se baat bhi karte to kis tarhan karte.

Ye masla ana ka tha,ana pe chhor diya.

Isi liye to wo kehte hain bewafa mujh ko.
<MOHSIN>

k main ne Sara zamana wafa pe chor diya.~

Bohat Din Ho Gaye
Shayed, Sahara
Kar Liya Uss Ne.


Hamaare Baad Bhi Aakhir Guzara Kar Liya
Uss Ne.


Hamara Zikkr To Uss K
Labbon Pe Aa Nahi Sakta,


Hamein Ehsas Hai Hum Se Kinaara Kar Liya Uss Ne.


Woh Basti Ghair
Ki Basti, Woh Koocha
Ghair Ka Koocha,


Suna Hai IshQ Bhi Ab To Dobara Kar Liya Uss Ne.


Bhulla Kar Payar Ki Qasmein, Woh Waadey Torr Kar Mohsin,


Kisi Ko Zindgi Se bhi Payara Kar Liya Uss Ne..

¤Sweet Gazal¤

Dhoop Ho Chaon Ho Tum Sath Nibhaya Karna

Mere Chehre Pe Sada Palko Ka Saya Karna

Raah Dekhon Ge Tumhari Main Sar-e-Sham Yonhi

Kabhi Jaldi Kabhi Dair Se Aya Karna

Daant Lena Sir-e-Mehfil Koi Bat Nahi

Phir Akele Mein Galay Laga Ker Manaya Karna

Jan Jaon Gi Main Khushbo Se Tumhari Tum Ko

Tum Peeche Se Meri Ankhon Ko Chupaya Karna

Jagna Chaho To Rat Bhar Baaten Karna

Neend Aa Jaye Tu Seeny Per Sulaya Karna

Main jalwa-e-Sadd rung hoon ya Moj-e-Saba hon,?

Ehsas ki Chokhat Pe Khara Soch raha hon.
.
Ik jaam to Pee lene de ay gardish-e-doraan,

Phir tujhko btata hun K Main kon hon kiya hon.
.
Tum Yaad karo Pehli Mullaqat ki batein,

Main Pehli Mullaqat zara bhool gaya hon.
.
So baar zamane ne Mujhe Zehar diya hy,

So baar Main Sach bol K Sooli Pe Charha hon.
.
Aksar usey Pa lene ki umeed me "SAGAR",

Khud apne liye raah ki deewar bana hon.,.!!

Dil me wfa ki hy talab

Lab per swal b nhi

Hum hein hisaar-e-drd me

Usko khyal b nhi!

Itna hy us se raabta
Chhaon se jitna dhoop ka

Gr ye nhi hy hijr to
Phir ye wisal b nhi!

Wo jo ANAA PARAST hy
Main b WAFA PARAST hun

Uski misaal b nhi
Meri misaal b nhi!

Usko zuban de chuke
Dil ka jahan de chuke

Ehd-e-wafa ko torr dein
Apni majaal b nhi!

Us se kaho ke 2 gharri
Hum se wo aa miley kabi

Maana ke ye muhaal hy
Per itna muhaal b nhi...!

Koi deewar se lag k betha raha or bharta raha siskiyaan raat bhar,

Aaj ki raat bhi chaand aya nahi raah takti rahin khirkiyaan raat bhar,

Gham jalata kisy koi basti na thi mere charon taraf mere dil k siwa,

mere he dil pe aa aa k grti rhi mere ehsaas ki bijlian raat bhr,

koi chehra koi roop anchal koi soch ki wadiyon se guzarta rha,

mere ehsaas ko gudgudaati rhi rang or noor ki tittliaan raat bhr,

Daairay shokh rangon k
ban-tay rahy yaad aati rahi wo Qalaai mujhe,

Dil k veeraan aangan me bajti rahin reishmi sharbati chooriyaan raat bhar.

Yeh Qaid Sikha Deti Hai Aadaab-E-Muhabbat,

Pinjre Mein Parinde Bhi Shararat Nahi Karte,

Woh Kon Hain Kis Waste Is Dar Pe Parre Hain,

Deewane Kabhi Dasht Se Hijrat Nahi Karte,

Mit Jaate Hain Duniya Se Woh Log Bhi Mohsin,

Jo Log Muhabbat Se Muhabbat Nahi Karte.

Jo hum Mehsoos kerte hain !

Agar Tum tak pahonch jaye!

To bas itna samajh lena!

Ye un jazbon ki khusboo hy!

Jinhen hum keh nahi sakte !

Migar Tum jo ijaazat do!

To chand Lafzon me keh daloon !

            ( K )
 
"Tum Bin Mar To Sakte Hain"

   "TUM BIN JEE
    NAHI SAKTY" 

"Zabt ki konsi manzil thi?
Kis maqam pe aa k Haare hain"

"Itna to tumhen maloom hi hy"
Tere naam pe aa k Haare hain"

"Kbi khud pr jabr kiya hum ne"
Kbi khud ko yun be-mol kiya"

"Hm subhon k lotne wale thy"
Ek sham pe aa k Haare hain"

"Ek dard musalsal hota hy"

"Ek barish andar hoti hy"


"K Heeron jaise log yahan ilzam pe aa k Haare hain"

"Kb jeet ka dava ham ne kiya"
Ye azal abd ka qissa hy"

"Hm be-khbri k aalam mein" Anjam pe aa k Haare h
ain

TUM KHAFA KYUN HO.?"

Tumhen Mujh sy gila kya hai.?

Achanak
be rukhi itni.?
Batao to hua kya hai.?

Manaaun kis tarah tumko.?
Mujhy itna to
batla do,

Agar ab ho saky tum sy,
To ye ehsan farma do.

Meri manzil mohabat hai,
Mujhy manzil py pohncha do.

Tumhari aankh men aansu,
Mujhy achay nhi lagty.

Tumhary narm honton py,
"Gily achay nhi lagty".

Tumhary muskurany sy,
Mera dil muskurata hai.

Tumhary rooth jany sy,
Mera dil toot jata hai..
.

Ye b ghar sy ksi wehshat me nikl aya hy
,,,,
chand shayd teri chahat me nikl aya hy
,,,,
dekh paya nhe chehra mery hathon me tera
,,,,
shakh sy phool rqabat me nikl aya hy
,,,,
main tujy bhool chuka hun ye yqeen hy muj ko
,,,,
ankh sy ashk ndamat me nikl aya hy
,,,,
ap muj sy yunhi naraz huy bethy hen
,,,,
lab sy shikwa to mhbt me nikl aya hy
,,,,
pehly ankhon sy niklta tha wo ansu bn kr
,,,,
ab ksi phool ki surat me nikl aya hy.............!!!!!

MERA SOCHNA TERI ZAAT TAK,,,,
MERI GUFTAGOO TERI BAAT TAK,,,,
NA TUM MILO JO KABHI MUJHAY,,,, 
MERA DHOONDHNA TUJHE PAAR TAK,,,,,
MAINE APNA SUB KUCH GANWA DIYA,,,,,
TERI NAFRATON SE PAYAR TAK ,,,,
KABHI FURSATEN JO MILAIN TO AA 
MERI ZINDAGI K HISAAR TAK,,,,
MAINE JAANA K MAIN KUCH NHI
TER EPEHLE SE TERE BAAD TAK.......

 GHAZAL ¤

Har Ek Chehre Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kaho

Ye Zindagi To He Rehmat Ise Saza Na Kaho

Na Jane Wo Konsi MaJborion Ka Qedi Ho

Wo Sath Chor Gaya He To Be-Wafa Na Kaho

Tamam Shehar Ne Nazron Pe Q UchaLa MuJe

Ye Ittifaq Tha Tum Is Ko Hadsa Na Kaho

Ye oR Baat Ke Dushman Howa He AJ  Magar

Wo Mera Dost Tha KaL Tk Use Bura Na Kaho

Hamare Aeib Hame UngLiyon Pe Ginwaao ' FARAZ

Hamari Pieth K Peche Hame Bura Na Kaho.

Na shab-o-roz hi badly hein, na hal acha ha
Kis brahman ne kaha tha k yeh sal acha ha
.
Ham k dono k giraftar rhy, janty hein
Dam-e-dunya se kahein zulf ka jal acha ha
.
Meine pocha tha k akhir yeh taghaful kb tak?
Muskaraty huay boly k sawal acha ha
.
Dil na many bhe to aeisa ha k gahè gahè
Yar bè faiz se halka sa malal acha ha
.
Lazzatein qurb-o-judai ki hein apni apni
Mustakil hijr hi acha na wisal acha ha
.
Rehrowan-e-Rah-e-ulfat Ka muqaddar maloom 
In ka aghaz hi acha na mal acha ha
.
Dosti apni jagah par yeh haqeeqat ha FARAZ
Teri ghazloon se kahein tera ghazaal acha ha.

Bol Hawa Us Paar Zamane Kaise Hain?

Ujrray Shehar Men Yaar Purane Kaise Hain?

Chand Utarta Hai Ab Kis Kis Aangan Men?

Kirnon Se Mehroom Gharane Kaise Hain?

Lab'Basta Darwazon Py Kia Beet Gai?

Galiyon Sy Mansoob Afsaney Kaise Hain?

Jin K Juhrmat Mien Shaamien Dam Torr Gaeen,

Wo Pyary,Pagal,Prwanay Kaise Hain?

MOHSIN,Hum To Khair Khbar Sy Bhi Guzar Gaye,

Apnay Rothay Yaar Na Janay Kaise Hain..

 Abhi kuch din mujhy  meri muhabt aazmane do,

mujhy khamosh rhne do,

suna hy ishq sacha ho to khamoshi laho bn kr rgon me nach othti hy,

zra us ki rgon me khamoshi ko jhoom jane do,

abhi kuch din mujhy meri muhabt aazmane do,

Usey main Q btaon main ne usko kitna chaha hy.?

btaya jhoot jata hy, k sachi bat ki khushbo to khud mehsos hoti hy,

meri baaten,

meri sochen,

Use khud jan jane do,

abhi kuch din mujhy meri muhabt aazmane do,

agr wo ishq k ehsas ko pehchan na paye,

mujhy b jan na paye,

To phr aisa kro ay dil

khud gumnam ho jao,

mgr us bekhabr ko zindgi bhar muskrane do.!.......

","UDAAS RAAT","  " " " " " " " " " " " "
Badan Thakan Se Choor Hai..

Par Neend Ham Se Door Hai..

Us ka Khayal Saath Hai..

Barri Udaas Raat Hai..

Hava-e-gham Ka Zor Hai..

Sumandron Ka Shor Hai..

Judaiyon Ki Baat Hai..

Barri Udaas Raat Hai..

Har Nazar Sharab Hai..

Us k Milne Ka Khuwab Hai.

Ye Kon Sa Azaab Hai.

Barri Udaas Raat Hai.

Gaye Dinon Ki Yaad Hai.

Thaka Thaka Sa Chand Hai.

Dukhi Dukhi Si Baat Hai.

Barri Udaas Raat Hai.

Ye Pehly Hijar Ka Kissa Hai,

Go Aj k Din Ki Bat Nhi,

Kuch Umar Bhi Thi Deewanon c,

Kuch Chaal Bhi Thi Mastanon c,
Hathn Mein Phool Sajatay Thy,

Sajh Dhaj Kar college Jatay Thy,
Kb Itnay Sidhay Sadhay Thy,

Uss Waqt Tu Hum Shehzaday Thy,
Phir Ik Chehra Bha Sa gia,

Nazdek Wo Dil k Aa Sa gia,
Phr wo Tha Aur Baatain Us ki,

Din Sab Uss k Ratain Uss ki,

Phir Aisa Bichrra Mila Nhi,
Iss Dil ka Phool Phir Khila Nhi,

Phir Uss k Bad Jo Log Milay,
Iss Dil ko Jitnay Rog Mily,

Har Sans Ussi k Naam Rhi,
Har Sham Ussi ki Sham Rhi,

Ye Pehlay HIJAR ka Kissa Hy,
Jo Aj Bhi Hum Pe Tari Hai,
Ye HIjr abhi tk jari hy..

Teri talab ki hadd ne aisa Junoon Bakhsha.,,
     "*Mohsin*"

''Hum khud ko Bhool bethe tujhe yaad karte karte....!
  "!Broken Star!"

Mohabbat kia hai?

Main ne pucha

Zindagi se,

Jawani se,

Suraj se,

Phoolon se,

Kainaat se,

Asmaan se,

Zameen se,


Laila se,

aur us k majnoo se,

dost se,


lekin Koi tasalli bakhsh jwab na mila

Aakhir tareekh  hath pakarr akar peechay le gai....


Boht peechay...


Raat tareek thi..

Taray b so chuke thay...
1 Bohat Azeem HASTI, 

sajde main jhuki,

geeli aankhon k sath,


1 he lafz dohra rhi thi,

"UMMATI"
"UMMATI"

"meri UMMAT"
"meri UMMAT"

Tareekh ny jhanjhor kr kaha

Ay nadaan....!!!!

ye hy "MUHABAT"

khushi ki rut ho ke ghum ka mosam nazar usse dhoundti hai har dam...

woh       boo e gul tha k nghma e jan mere to dil mien utar gayi woh...

HuM Daikhen gaY...

Lazim ha k hum b daikhen gay...

Vo din k jis ka wada ha...

Jo loh.a.azl ma likha ha..


Jb zulm.o.sitm k koh.a.giran..

Ro.e ki trh urh jaen gay..

Hum muhkoumun k paoun talay..

Jb dhrti dharh,dharh dharkay ge..

Or ahl.a.hekam k sar opar..

Jb bjli karh,karh karkay gi...

Jb arz.a.khuda k kaabay cy...

Sub but uthwaey jaen gay..

Hum ahl.a.safa, mardoud.a.hram.

 Masnad pa bithay jaen gay...

Sub taj uchaly jaen gay...

Sub takht giraey jaen gay...

Bus nam rahay ga ALLAH ka...

Jo gaib b ha hazir b...

Jo manzr b ha nazer b

Or raj kry ge khlq.a.khuda...

Jo main b hun or tum b ho....

Talash e Manzil k marhalon me ye hadsa ik ajeeb dekha.

Faraib rahon me baith jata hai soorat e Eitbar ban kr.

Gharoor-e-Hasti ne mar dala
Wagarna hm loag jee hi lete.

Kisi ki Ankhon ka Noor ho kr
Kisi k dil ka qarar ban kr.

Dayar-e-peer-e-mughaan me aa kr ye ik Haqeeqat khuli hai "SAGHAR"

Khuda ki basti k rhne waly to lut lete hen yar bn kr.

  "GAZAL"
Suna hy yaad krty ho...

K jb b shaam dhalti hy
Hijr mein  jaan jalti hy

Tm Apni raat ka aksar Sukoon barbaad krty ho...

Suna hy yaad krty ho...

K jb panchhi loat aaty hn
Ghamon k geet gaaty hn,

"Suno! tm loat aao na"
Yehi fariyad krty ho...

Suna hy yad krty ho...

Sitary jb falak pe jagmagaaty hn
Wo beety huwy pal khoob rulaty hn

Tm US dam apni aankhoon main mujy abaad krty ho...

Suna hy yaad krty ho...!
Mujy tm yaad krty ho...¤

Behky huye
Sar-E-Aam bari deer Hogai

Saqi PiLa dy jaam
bari deer Hogai

Kaisy bhula don tujko
sahiL ki rait per

Likhty huay tera naam
bari deer Hogai

Kya batayn
Manzar Suraj k doobne ka

Dekhy huay koi sham
bari deer Hogai

Ehbab ny meri minatain hazar ki,

Pee Lejeiy janab bari deer Hogai

Dekhy mere gunnah
to Farishte pukar uthay

Bohat ho gya Hisaab
bari deer Hogai,

Chalo 'Sagar'
Aj un k kochy me chalen

Unko kiye saLam bari deer Hogai.

Phir marka roh.o.bdn paesh ha dil ko..

Tehzeb ny phr apny drindoun ko pukaro..

Allah ko pamardiay momin pa bhrosa

ibles ko eourap ki machnu ka sahara.

Sari Neendein Ura Kar Chala Gaya

Muj Se He MujKo Chura Kar Chala Gaya

MUHABAT Ki Intaha Kuch Is Tarha Ki us Ne

Apni Khushbo Mere Jisam Main Chupa Kar Chala Gya

Ek Pal Ko Hansany Aya Tha
Har Pal K Liye Rula Kar Chala Gya

Keh Kar Gaya Tha Mein Abhi Lout Aoun Ga

Kitny Pyar Se Behla Kar Chala Gaya.

Bikney Waly Or B Hen Ja Kr Khareed Lo,

Hum Log Qeemat Se Nahi Qismat Se Mila Karty Hen,

Faraz Replied 2 Mohsin,

Agar Chahon
To Ek Nigah Me Khareed Lon Usko,

Jisko Naaz Hy Bohat K Bikta Nahi Hon Me,

SAGAR Replied 2 Faraz,

Bohat Naaz Hy Tujhko Teri Is Nigaah-E-Ulfat Per,

Magar Hum Wo Nahi Pyare Jo Nigahen Chaar Karty Hen,
.

     (GAZAL)

" Kisi K Liye
  Zindagi Thi "

"Koi Zindagi K Liye Tha"

"Kisi Ki Andheron Me Guzri"

"Koi Sirf Roshni K Liye Tha"

"Kisi Ne Kiye Hukam Sadir"

"Koi Sirf Bandagi K Liye Tha"

"Kisi Se Mohabbat Hai Itni"

"Koi Sirf Dushmani K Liye Tha"

"Kisi Se Hue Log Seraab"

"Koi Sirf Tishnagi K Liye Tha"

"Woh Phir Duniya Me Tha Masroof"

"K0i Sirf Usi K Liye Tha"

"Hua Kya Agar Tor Dala"

"Yeh DiL Bhi To Sirf Usi K Liye Tha.

Hwa thami thi zaror lekin,
Wo sham jese sisak rahi thi,
K zrd patton ne andhion se,
Ajib Qisa suna dia tha
K jsko sun kar tmam patte
Sisak rhe the Biluk rhe the
Jane kis sanihe k ghum me
Shajr jarron se ukhar rhe the
Bohat talasha tha ham ne tumko,
Hr aik rasta,
Har aik wadi,
Hr aik parbt,
Hr aik ghati,

Mgr kahin se khabr na aai,
Ye keh k hm ne dil ko tala,
Hawa thame gi to dekh len ge,
Hum us k raston ko dhond lain ge
Mgr hmari ye khush khayali,
Jo hum ko brbad kar gai thi,
Hawa thami thi zaror lekin,
Bari hi mudat guzar chuki thi,
Hamare balon k junglon mein,
Sufaid chandi utar chuki thi,
Falak pe taare nahi rahe thay,
Gulab saare nahi rahe thay,
Wo jin se basti thi dil ki basti
Wo log saare nahi rhe thay,
Magar
Ye almiya sab se bala-tar tha,
K hum tumhare nahi rahe thay,
K tum hamare nahi rahe thay,
Hawa thami thi zaroor lekin,

Bari hi mudat guzar chuki thi!

Kya kahain kitny Marasim Thy Humary Us say...

Wo jo Ek Shaks haY Moun Phair k Jany Wala..!

Tere hotY Huay aa jati Thi Duniya Sari...

Aaj Tanha hoon to koi Nahi Aany Wala...!

Muntazir kiss Ka hoon Tooti hoi Dehleez py Main...

Kon aye Ga Yahan kon haY Aany Wala..!

Main Ne dekha hay Baharon Mein Chaman ko Jalty huaY...

HaY koi khwaB ki Tabeer Btany wala...

Tum Takaluf ko Bi Ikhlaas Samjhtay ho "FARAZ.

Dost hota Nahi Her Haath Milany Wala.!!

..YE MOSAM SARD HAWAON KA..

Q £out K Phir Se Aaya Hai

Mujh Ko Kr K Tanha Sa

Be'Tabi Sath Main £aya Hai

Yakh Bsta £ambi Raaton Main

Sb Un-Kahi C Baaton Main

Meri Aankhon Main Meri Saanson Main

Ek Aks Aza£ Se Chaya Hai

Ye Mosam Sard Havaon Ka...

Hr Mehfi£ Main Tanhai Main

Kabhi Yaadon Ki Gehrai Main

Hr Saaye Main Parchai Main

Me Ne Sath Tujh Hi Ko Paya Hai

Ye Mosam Sard Havaon Ka...

Q lot k phr se aya Hai..!

 **Ghazal**

Lamha Bhar Apna Hawaoon Ko Banane Walay,

Ab Na Ayein Gay Palt Ker Kabhi Janay Walay,

Kia Milay Ga Tujhay Bikhray Howay Khwaboon K Siwa,

Rait Per Chaand Ki Tasveer Bananay Walay,

Sub Ne Pehna Tha Barray Shaoq Se Kaghaz Ka Libas,

Jis Qadar Log Thay Barish Mein Nahanay Walay,

Mer Gaye Hum to Ye Kutbay Pe Likha Jaye Ga,

So Gaye AaJ Zmany Ko Jagany Waly

Dar_O_Dewar Pe Hasrt c Barsti Hai
MOHSIN

Jany Kis Dais Gye Pyar Nibhany waly.

Ham se tas'kheer muqadar k sitaare na hoey,

Zindagi aap they aur aap hamary na hoey,

Phir batao k bhala kis pe sitam dhao gy,

Shehr-e-ulfat me agar dard k mary na hoey,

Sach to ye hai k bina us k guzara jeewan,

Ye bhi sach hai k bina us k guzarey na hoey,

Es liye apna milan ho bhi nahi sakta tha,

Ek darya k kabhi dono kinarey na hoey,

Toot jaate hain sabhi pyar k rishtey "WASI"

Kachy dhagey to kisi k bhi sahary na hoey.

Friday 25 March 2011

Sula raha tha na bedar ker saka tha mujhe
Vo jaisey khawab mein mehsoos ker raha tha mujhe
Yahi tha chand aur us ko gawah tehra ker
Zara sa yaad to ker tu ne kia kaha tha mujhe
Tamam raat meri khawbgaah roshan thi
Kisi ne khawab mein ek phool de dia tha mujhe
Woh din bhi aye k khushbu se meri aankh k'huli
Aur ek rang haqiqat mein chu raha tha mujhe
Mein apni khak per kaisey na lot ker ati
Buht qareeb se koi pukarta tha mujhe
Daroon-e-khaima hi mera qayam rehna tha
to meer-e-fauj ne lashkar mein kio liya tha mujhe

....In the peak of sights
The wife of a Mujahid is like a candle
on her husband's darkest nights
continuing towards eternity with handle

==(mujahid) a man who fight for the islam

........Lighting his way
to the path of jihad feesiibilaah

....seeking only the pleasure of Allah
thou with deep love and fervent wish
for shahaada which doesn't diminish

==(shahaada ) one who dia in the way of islam

.........She the wife of a Mujahid..................
is a women of honor through her ghazwa (battle)
Who knows Ar-Rahman will catch her when she falls
The wife of a Mujahid- more like a women of taqwa
Who puts trust in her Lord when calamity befalls

..She the wife of a Mujahid...................

..

is the ideal muminah who prays in mist of the night
Who is not blinded by pride and self-rightousness
But hides her attractions with a guidance of light
And guards her chasity with full hijab and firmness

.....She the wife of a mujahid...................
..
A women of strength whom Allah she pleases and obeys
The ideal muslimah who engages much in Allah's praise
Indeed while preserving her self-respect and dignity
through her noble conduct among the living humanity

.....Jihad with sword is not mandatory upon her,
But she as a wife fulfilled her role for jihad

....On promise Day- hopefully in the peak of sights
She too will be sitting on a mountain of pearls
As angels and hoors serving her and her likes
Thus a vast mercy from the Lorld of the Worlds

گئے دنوں کا سراغ لیکر کدھر س وہے آیا کدھر گیا وہ
عجیب مانوس اجنبی تھا مجھے تو حیران کر گیا وہ

خوشی کی رت ہو کہ غم کا موسم، نظر اسے ڈھونڈتی ہے ہر دم
وہ بوئے گل تھا کہ نغمہ جان، میرے تو دل میں اتر گیا وہ

وہ میکدے کو جگانے والا، وہ رات کی نیند اڑانے والا
نہ جانے کیا اس کے جی میں آئی کہ شام ہوتے ہیں گھر گیا وہ

کچھ اب سنبھلنے لگی ہے جاں بھی، بدل چلا رنگ آسماں بھی
جو رات بھاری تھی ڈھل گئی ہے، جو دن کڑا تھا گزر گیا وہ

شکستہ پا راہ میں کھڑا ہوں، گئے دنوں کو بلا رہا ہوں
جو قافلہ میرا ہمسفر تھا، مثل گرد سفر گیا وہ

بس اک منزل ہے بوالہوس کی، ہزار رستے ہیں اہل دل کے
یہی تو ہے فرق مجھ میں اس میں، گزر کیا میں ٹھہر گیا وہ

وہ جس کے شانے پہ ہاتھ رکھ کر سفر کیا تونے منزلوں کا
تیری گلی سے نہ جانے کیوں آج سر جھکائے گزر گیا وہ

وہ ہجر کی رات کا ستارا، وہ ہمنفس ہمسخن ہمارا
سدا رہے اس کا نام پیارا، سنا ہے کل رات مر گیا وہ

بس ایک موتی سی چھب دیکھا کر، بس ایک میٹھی سی دھن سنا کر
ستارا شام بن کے آیا، برنگ خواب سحر گیا وہ

نہ اب وہ یادوں کا چڑھتا دریا، نہ فرصتوں کی اداس برکھا
یونہی ذرا سی کسک ہے دل میں، جو زخم گہرا تھا بھر گیا وہ

وہ رات کا بے نوا مسافر، وہ تیرا شاعر وہ تیرا ناصر
تیری گلی تک تو ہم نے دیکھا، پھر نہ جانے کدھر گیا وہ

Abb Youn Dil ko Saza Di Hum Nay
Us Ki Her Baat Bhoola Di Hum Nay
Aik Aik Phool Bohat Yaad Aya
Shaak-e-Gul Jab Wo Jala Di Hum Nay
Aaj Tak Jis Pay Wo Sharmatay Hain
Baat Wo Kab Ki Bhoola Di Hum Nay
Shehar-e-Jahan Raakh Sai Abaad Hova
Aag Jab Dil Ki Booja Di Hum Nay
Aaj Phir Yuoon Bohat Yaad Aya Woh
Aaj Phir Us Ko Duya Di Hum Nay
Koi To Baat Hai Us Main Faiz
Her Khooshi Jis Pay Loota Di Hum Nay

Sula raha tha na bedar ker saka tha mujhe
Vo jaisey khawab mein mehsoos ker raha tha mujhe
Yahi tha chand aur us ko gawah tehra ker
Zara sa yaad to ker tu ne kia kaha tha mujhe
Tamam raat meri khawbgaah roshan thi
Kisi ne khawab mein ek phool de dia tha mujhe
Woh din bhi aye k khushbu se meri aankh k'huli
Aur ek rang haqiqat mein chu raha tha mujhe
Mein apni khak per kaisey na lot ker ati
Buht qareeb se koi pukarta tha mujhe
Daroon-e-khaima hi mera qayam rehna tha
to meer-e-fauj ne lashkar mein kio liya tha mujhe

Dil k veeraney aaker sajaye Ga,
Sacha Piyar hi usey meri Dehleez per Layga

Usey Khabar Karo k mein Us k shahar mey Aaya hoon,
Khush to bohat hoga magar mery pass na ayega

Kafan mein kuch dare mera chehra khula hi rakhna,
Meri bebasi dekhney Wo zroor aega

Wo aaye to mery Janazey sey usey door hi Rakhna,
Uska Udas chehra mujh sey dekha na jaeyga

Meri Qabr per Naam ki takhti na lagana werna,
Aatey Jatey usey mera Gham bohat satayga

Dayaar-e-gair main kaise tujhe sadaa dete
tuu mil bhii jaataa to akher tujhe ganvaa dete

tumhii ne ham ko sunaayaa na hal-e-dil apanaa warna

duaa wo karte ke aasmaan hilaa dete

hamen ye zom rahaa ab ke wo pukaarenge

unhen ye zid thii ke har baar ham sadaa dete

vo teraa gham thaa ke taasiir mere lahaje kii

ke jis ko haal sunaate use rulaa dete

tumhen bhulana hi awwal to dastaras main nahi

jo ikhtiyaar bhii hotaa to kyaa bhulaa dete

samaton ko main taa-umr kostaa hii raha

wo kuchh na kahate magar honth to hilaa dete

Dayar-e-ishaq mian Apna maqam peda kar
Nia zaman niay subha wa shaam peda kar

Khuda ager dil-e-Fitrat Shanass day tujh ko
Skoot lala-wa-gul say kalam pedaa ker

Uthaa na sheshaa gran-e-frang kay ahsaan
Sfaal-e-hind say menaa wo jam peda ker

Man shaakh taak houn meri ghazal hay mera samara
Mray sammer sy may lala faaam pedaa ker

Meraa tareeq ameree nahin  faqeree hay
Khudee na bech ghareebi mian naam peda ker

Kya Mila Tumhe Socho, Humko Azmaane Mein
Aag Lag Gayi Aakhir, Har Taraf Zamane Mein

Tum To Chaar Din Mein Hi Apna Honsla Kho Bethe
Umar Beet Jati Hai, Ruthne-Manane Mein

Tumne Sab Luta diye Ashq Meri Palko Ke
Ik Zamaana Lagta Hai, Aainey Sajaane Mein

Aaj hai Sabhi Masroof, Farak Sirf Itna Hai
Koi Ghar Banane Mein, To Koi Ghar Jalane Mein

Aaj Dil Hai Diwana, Uska Rukh Na Pehchana
Saazishen Bhi Shamil Hain Jiske Muskurane Mein

gulabon ki mehki lari ho gai hon
muhabbat ki pehli kari ho gai hon

mujhe tune aisi nigahon se dekha
ke ek pal main bari ho gai hon

na churwa sako ge kabhi hath apna
muhabbat bhari hath kari ho gai hon

juda ker na paye ga ab tujh ko mujh se
tu khushbo hai main pankhari ho gai hon

Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila
Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila
Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Hansta Tha Bohat
Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila
Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor
Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila
Main Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani Ka
K Wo Bhi Aaj Muje Apna Ghar Luta k mila
Main jisko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste Main
Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka K Mila
Main Zakham-e-Zakham Badan Le K Chal Dia
Wo Jab Bhi Apni qabar Per Kanwal Saja K mi
la.

Mujhe Roshni ki talab bhi thi...
Mujhe mazilon ka Gumaan bhi tha
Mujhe Raasto ki khabar bhi thi...
Mein bashar jo tha'Mera Dil bhi tha
Mere Dil mein rang bikhairti hue
Khawahisho ka Hajoom bhi tha
Meri Zindagi ki Khalaoo mein
Kai teeirtey hue Khawaab the
Mujhe maangne ka shaoor tha
Mere Lab pe Harf-e-DUA bhi tha
Mein Bashar jo tha...
Mujhe Roshni ki Talab to thi
Mujhe Raasto ki khabar to thi
Mujhe Manzilo ka Gumaan to tha
Tu ne phir bhi kaise samajh liya
Koi Aarzoo Koi Raasta
Koi Roshni Koi Zindagi
Mujeh Tujh se Barh kar AZEEZ hai
Kabhi Iss taraf se guzar hua
To nazar bacha ke Ye dekhna
TERE baad jitni basar hue
Issey UMER kehna Durust hai.....??

Thursday 24 March 2011

> jabiiN pih aane nah dete the ik shikan bhii kabhii
> > agarchih dil meN hazaaroN malaal rakhte the

> > KHushii usii kii hameshah nazar meN rahtii thii
> > awr apnii quvvat-i-Gham bhii ba-Haal rakhte the

> > bas ishtiyaaq-i-takallum meN baar-haa ham log
> > javaab dil meN zabaaN par savaal rakhte the

> > usii se karte the ham roz-o-shab kaa andaazah
> > zamiiN pih rah ke vuh suuraj kii chaal rakhte the

> > junuuN kaa jaam, muHabbat kii mai. KHird kaa KHumaar
> > hamiiN the vuh jo saare kamaal rakhte the

> > chhupaa ke apnii sisaktii sulagtii sochoN se
> > muHabbatoN ke 'uruuj-o-zavaal rakhte the

> > kuchh un kaa Husn thaa maa-varaa misaaloN se
> > kuchh apnaa 'ishq bhii ham be-misaal rakhte the

> > KHataa nahiiN jo khile phuul raah-i-sar-sar meN
> > yih jurm hai kih vuh fikr-i-ma-'aal rakhte the

"bas,

"bas, ishtiyaaq-e-takallum meN baar-haa ham log
> javaab dil meN, zabaaN par savaal rakhte thay!
> junuuN kaa jaam, muHabbat ki mai. Khird kaa Khumaar
> hamiiN tau thay woh, jo saare kamaal rakhte thay"

Sunday 6 March 2011

poetry

======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Teri ibteda Bhi Aansoo Hain..!!
.


Teri inteha Bhi Aahain Hain...!!
.


Tu Hi Keh De Aey Mohabbat..!!
.
Tujhe Kis Bina Pe Chahain..!!






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Bhula dena kabhi wada, kabhi takmeel kar lena,


Kabhi yunhi Murawwat mein meri tameel kar lena,


Shab-e-Tareek Rastay mein Jo aa jaey to ye Ankhein,


Kabhi jugnoo kabhi taaray kabhi qandeel kar lena,


Hamesha se yahi apna shaoor-e-zindagi rakhna,


Jo Rasta Aam ho jaey usay Tabdeel kar lena..








======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Mujhe Likhne Ka Shoq Hota Mein Apna Khawab Likhta


Tere Chehre Ko Chand Tere Honton Ko Gulaab Likhta




Tere Pyar Mein Bhool Kr
Sari Kaainat Ko,


Tere Zulfon Ki Chhaaon
Mein Apna Anjam Likhta


Haq Hota Takdeer Likhne
Ka Muje Apni,


To Tere Sary Ghum Mein
Le Kr Apni Sari Khushiyaan Tere Naam Likhta






Agar "BÄÄDSHÄHÄT" Daita Is Jahan Ki Khuda Mujhe


Tu Mein Ye Sara Jahan Tere Naam Likhta aur Tujy apny nam likhta.








======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Bhol jaen to aj behtr ha...
Silsilay qrb k juda.e k..
Bujh chuki khwaesho ki qandelein.,
Lut chuky shehr ashnae k..
Raegaan sa.aton cy kia lena..
Zakhm houn, phol houn, sitaray houn..
Mosumo ka hisab kia rakhna..
Jis ny jesy b din guzaray hun...
Zindge cy shkayatein k.c
Ab nahi hain agr gillay thay kbi...
Bhol jaen k jo hua so hua..
Bhol jaen k hum milay thy kbi...
Aksr oqat chahny par b...
Faslun main kami nahi hoti..
Baa.az oqat janay walun ki..
Wapsi cy khushi nae hoti...


_nO......................
__BrAin................
______nO..........
________Pain.. 






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Dil munafiQ tha shb.a.hjr ma soya kaisa...
Or jb tuj cy mila tout k roya k.ca...
Zindge ma b gazal ka qarena rakha...
Khwab dr khwab try ghum ko piroya kaisa...
Ab to chehroun pa b qatboun ka gumaan hota ha..
Aankhen pathrae hue ha lab.a.goya kaisa..
Daikh ab qurb ka mosam b na sarsbz lgy..
Hjr he hjr marasim ma samoya kaisa...
Aek ansu tha k darya.a.nadamat tha  FARAz...
Dil cy bybak shinavar ko duboya kaisa..


_nO......................
__BrAin................
______nO..........
________Pain..




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
"Kitab Sada Rhy Gi Kb Tk,
Kbhi To Aghaz-e-Baab Hoga,


Jinhon Ny Basti Ujar DaLi, Kbhi To Unka Hisab Hoga,


Shehr Ki Khushiyan Manany WaLo,
Shehr K Tewar Bta Rhy Hn,


Abi To itni Ghutan Barhy Gi,K Sans Lena Azab Hoga,


Wo Din Gya Jb K Hr Sitam Ko,
Ada-e-Mehbob Keh K Chup Thy,


Uthy Gi Hm Pr Jo eent Koi,To Pathr Uska Jwab Hoga,


Skot-e-Sehra Me Basny WaLo,
Zra Ruton Ka Mizaj Smjho,


Jo Aj Ka Din Sakon Se Guzra,
T0 KaL Ka Mosam Khrab Hoga¤






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Mujhe aansuon ki talab nahi
muje zindagi ki talash hai




Jise dhond kar bhi na pa saka
mujhe phir usi ki talash hai.




Muje dushmano mein na dhondna, mujhe doston mein talashna,


Main mohabbaton ka aseer hon muje dosti ki talash hai.


Meri rah-e-azm-e-talash mein,
koi zindagi ka rafeeq ho




Koi ansuon ka charagh de,
muje roshni ki talash hai.




Main bulandion ka zameer hon,
main rafaqton ka pazir hon




Mujhe nafraton ki zamin par


MOHABTON KI TALAASH hai.




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
   <¤GAHZAL¤>
Be-His Hein  Yahan Log Bhala Souch Ke Karna,


Is Dor Mein  Logon Se Wafa Souch Ke Karna¤


Ik Bar Jo Roothe Hum To Mana Tum Na Sako Ge¤


Hum Jaise Wafadar ko Khafa Souch Ke Arna¤


Gul Shakh Se Tootay To Kahin Ka Nahi Rehta¤


Tum Zaat Meri Khud Se Juda Souch Ke Karna¤






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Kuch is trah Se usy Pyar krna parta hai___


K Apny pyar Se Inkar krna parta hai___


Kbhi kbhi to wo itna Qareeb hota hai___


K apne Aap ko dewaar krna prhta hai___


Khuda ne Usko Atta ki hai wo Maseehai___


K khud ko jaan ke Bemaar krna parta hai___


Wafa ki Raah me dushwariya to aati Hain___


Wafa ki raah ko Hmwaar krna prhta hai___


Wo haath Rakh k mere dil pe jb Poochta hai___


To Mjhko dard se Inkar krna parta hai______!






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Tanha Ghar Se Bahir Jana Theek Nhe,


Tm Masom Ho Aur Zamana Theek Nhe.
.
Saaf Dilon Ko Phr Se Mela Kr Den Gi,


Guzri Baton Ko Dohrana Theek Nhe.
.
Aisi Chezen Dor Se Achi Lgti Hen,


Chand Ko Apne Pas Bulana Theek Nhe.
.
Aao Mere Hath Pe APNA Hath Rkho,


Sahil Ko Khali Lotana Theek Nhe.
.
Rfta Rfta Taberein Beh Jati Hain,


Num Ankhon Mein Khuwab Sjana Theek Nhe.
.
Chor "SAHIL" in Pathr Dil Insan0n Ko,


Apne Dil Ka Haal Sunana Theek Nhe.






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Muhabat jeet hoti hai magar ye haar jati hai
Kabi dil soz lamhon se
Kabi bey-kaar rasmon se
Kabi takdeer walon se
Kabi majboor kasmon se
magar ye haar jati hai..,
Kabi ye phool jaisi  hai
Kabi ye dhool jaisi hai
Kabi ye chand jaisi hai
Kabi ye dhoop jaisi hai
Kabi masroor karti hai
kabi ye rog deti hai
Kisi ka chain banti hai
kisi ko rol deti hai
Kabi lay paar jati hai
Kabi ye maar jati hai
Muhabat jeet hoti hai
magar ye haar jati hai...










======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Sehra Jo Pukaren Bi To Sun Kr Nai Aaty.
Ab Ahal-e-junon Shehr Say Bhair Nai Aaty.
Wo Kaal Para Hai K Tijarat Gaah-e-Dil Mein.
Dastaryn Mayasr Hain Magr Sar Nai Aaty.
Wo Log Hi qadmon Se Zamen Cheen Rahe Hain.
Jo Log Mery Qaad K Brabr Nai Aaty.
Ik Tum K Tumhry Liye Mein Be,Meri Jaan Be.
Ik Mein k mujhe Tum Be Maysr Nai Aate.
Jis Shaan Se Lotay Hen Ganwa Kr Dil-o-Jaan Hum.
Is Taaur To Haaray Huy Lashkr Nai Aaty.
Koi To Khbr Lijio Mere Dushamn-e-Jaan Ki.
Kuch Din Se Mere Sehaan Mein Pathr Nai Aaty.
Dil Be Koi Aaseb Ki Nagri He K.
MOHSIN.
Jo Es Se Nikal Jaaty Hain Mur Kr Nai Aaty.






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Aik chehra jo mere khwab saja deta hai


mujh ko mere hi khayaloun mein sada deta hai


wo mera kon hai maloom nae laikin


jb b milta hai to pehlu main jaga deta hai


main jo ander se kabi toot k bikhrou


to  sambhalne  k liey hath barha deta hai


main jo tanha kabi chupke se b rona chahon


to dil k darwaze ki zanjeer hila deta hai


Us ki qurbat main hai kia bat najane


aik lamhe k liey sadyoun ko bhula deta hai...






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Tum aao to hm b EID kren


hasrat hy tumhari deed kren


kuch dair to dil ko chain milay


kuch roz to man k phool khilain


kehtay hain k EID ki aamad hy


Hm log b kuch taeed kren


Tum se ye
1 guzarish hy


Ye apnay dil ki khwahish hy


1 bar milo
1 bar milo


Hr bar ye hi takeed kren


Tum aao to hm EID kren


Maana k hm deewaney hain


Sab baaton se anjanay hain


Jab apnay b beganay hain,


Kya ghairon se umeed kren?


Tum aao to hm b "EID" krain,,




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Is Eid pe lot k aa jana
kch yadain taza krni hain
kuch lmhy mor k lanay hain
kuch taray tor kay lanay hain
wo msti or wo mdhoshi
wo bchpan mor k lana hay
is Eid pe lot k aa jana
ab dil ko dil ki dhrkn se
phir Eid mubarak kehna hay
ab sath bhot din rehna hay
is Eid pe lot k aa jana
Is Eid pe lot k aa jana
EidMubarak_




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
"Na Umang Dil mein rahi koi..."
"Na Zehan mein koi Sawaal hay..."


"Ye jo
Gardishen hain Hayaat par..."
"Meri Khwahishon ka Kamaal hay..."


"Main ne kab kaha main Haseen hoon..."
"Ya Muhabbaton ka Ameen hoon.."


"Meri Guftugu mera Aaina.."
"Mera Zoq meri Misaal hay..




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Usay Batana Gham-e-zamana
Faraib Dega Kheyal Rakna


Wafa K Raste Se Loat Jana
Faraib Dega Kheyal Rakna




Sukon Degi Wesal Raten
Chain Daingay Udas Lamhy


Magr Ye Pal Bhar Ka Muskurana
Faraib Dega Kheyal Rakna




Tu Khuwab Kis Ka Main Khuwab Kis Ka,
Na Pyar Tujko Na Pyar Mujko,


Yun Ek Dojay K Pas Ana,
Faraib Dega kheyal Rkna,




Jo Qeher Tota Hy Dil Pe Mere,
Wo Qeher Totey Na Ab Kesi Pr,


Ye Dil Jalana Ye Ghar Lutana
Faraib Dega Kheyal RakhnA..






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Meri Zindgi ki Kitab ka hy Warq yn Saja hoa


Sar-e-ibtida Sar-e-inteha Tera Naam Dil pe Likha hoa


Ye Chmak Dmak to Fareb hy
Mujhe Dekh Gehri Nigah se


Hy Libas Mera Saja hoa Mera Dil hy Mgr Bujha hoa


Meri Ankh Teri Talash me
yon Bhatakti hy Raat me


Jese junglo me Hiran koi ho Shikarion me Ghira hoa..




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Jis Dais k Koochay Koochay mein Aflaas Aawara Phirta ho,


Jo Dharti Bhook Ugalti ho Dukh Dard Falak se Girta ho,


Jahan Bhokay Nangay Bachay b, Aahon pe Paalay Jaatay hon,


Jahan Sachaai k Mujrim b,
Zindaan mein Daalay Jaatay hon,


Jahan Majburon k khoon se apny Qasoor b Dhoay Jaatay hon,


Us Dais ki Matti Barson se,
Yeh Dukh Jigar pe Sehti ha,
Ess Dais kay Be-Hiss Logon ko,


 "AZADI" "MUBRAK"kehti hai,
 "AZADI" MUBARAK Kehti hai.




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Merey Watan ki halat ne guzartay baadalo ko ruladiya,


Hawao ki narazgi ka tab ilm hua hum ko,


Jab kisi parwaz ko usnay zameen pay giradiya,


Yun khoon ko behta dekh k darya say raha na gaya,


Ek ansuon ka Sailaab galiyo tak bahdiya,


Ye Pak zameen ro ro k ye kehti he,


Aisay gunahgar logo ko Yaa Rab kyu mujh pr tune basadiya.."
happy independence day.
Plz Pray 4 the Country.




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Apna Hissa shumar krta tha
Wo Mujhse itna pyaar krta tha,


Wo Banata tha Meri Tasveerain
Phr un se Baatein Hazaar krta tha,


Mera Dukh B khaloos-e-Neeyyat se
Apne Dukhon mein Shumaar krta tha,


Such Samjhta tha Jhoot B mera,
Yun Woh Mera Aitbaar Krta tha,


Jab B Rota tha Main Raat ki Tanhaiyon mei
Wo apne AANCHAL se mere Chahray ko Saaf krta tha,


Aj Sochta hon to Aankhein bheegh jati hain Wasi


Wo Shakhs Mjhse kitna Pyar krta tha.




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
"Tum Kitne Ache Lagte Ho


Jb gehri socho me dobe Tum holy holy chalte ho


Jb tanhai k sholo me Tum rafta rafta jalte ho


Jb bhegy bhegy mosam me Tum lamha lamha sochte ho


Jb apni kali ankho se Tum mujhko daikha krte ho


Jb pyar mohabt k Qisy Tum kaan laga k sunte ho


Jb apni bolti ankho se Tum muj se batain krte ho


Jb dil ki meethi baaton pr Tum thora sa ghbrate ho


To aisy sary lamho mein


Ae jaan-e-wafa tum kya jano


Tum Kitne Ache Lagte Ho




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
"Ham Aysi Mhabt Krte Hain"


Jb hath dua ko uthte hain..


Alfaz kahen kho jate hain..


Bs dhyaan tmhara rhta hy..


Or ansu behte rhte hain..


Hr khawab tmhara pura ho..


Us "Rab" ki minnat krte hn..


"Ham aysi mhabt krte hain"
''Tum kaisi muhbt krty ho''


Mje thandak raas næ ati..


Mje barish se khof ata hy..


Per jis din se malum hua..


Ye musm tm ko bhata hy..


Ab jb b sawan ata hy barish mn bheegte rhte hain..


"Hm aysi mhabt krte hAin"
''Tum kaisi muhbt krty ho''
?????


_nO......................
__BrAin................
______nO..........
________Pain..






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Usne jb jb b muje dil se pukara mohsin!
Main ne tb tb ye btaya k tumhara mohsin!
Log sadyon ki khataon pe b khush basty hain
Humko lamhon ki wafaon ne ujaarra mohsin!
Jb aa gaya ye yaqin ab wo nhi ayega
Gham or aansuon ne diya dil ko sahara mohsin!
Wo tha jb pas to jeeny ko b dil karta tha
Ab to pal bhar b nhi hota guzara mohsin!
Usko pana to muqadar ki lakeeron me nhi
Uska khona b karen kesy gavara mohsin.










======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Kbhi dosti k jhagry kbhi dushmani ki batain


Whi ap hi k Qisay wo ap hi ki batain


Wo mily hain mjh ko aksr sr-e-rah chalty chalty


Whi ajnbi nigahain whi byrukhi ki batin


Na samjh saka jahn mn koi mera dard-e-azem


Mery ghm ko log samjhy meri shairi ki batin


Koi hm ko ye bataye ye junon nhi to kia hy


Mily jb B hm kisi sy karen ap hi ki batain


Mery hal py wo yunhi kuch aisy muskuray


Mn suna rha hon jesy ksi ajnabi ki baten!!




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Jisko lainey taajron ka dasta nikla,


Bikney aaya to tawaqu se b
sasta nikla..


Apnay seeney me chhupaye howay teri yadain,


Ham pe har shakhs aawazain
kasta nikla..


Ham ne har baat bohat soch samajh kar ki hai,


Bas ik
lafz-e-mohabat tha jo barjasta nikla


Wo jis ne
paon taley kitney dil masal daaley


Kal wohi shakhs mohabbat ko tarasta nikla


Teri muskaan se mansoob rahi rahat meri


Mera Har gham
tere gham se paiwasta nikla






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Main Kis Tarah Se Guzaron Ga
Umr Bhar Ka Firaq


Wo Do Ghari B Juda Ho
To Jan Jati Hy


Ye Na Muraad Mohabt B Qatilon Ki Tarah


Zaror Chor K Koi Nishan Jati Hy.




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
  (~¿~)
Lagta nahi k sath nibhaye ga dair tak,


Lekin wo mujhko bhool na paye ga dair tak,


Jo bhi qareeb aaye ga us k, usay zuroor
Wo meri daastan sunaye ga dair tak,


Dhoonday ga wo mujhay inhi galiyon mein ek din,


Dhoonday ga or mujh ko na paye ga dair tak,


Main saahilon ki rait pe likhoon ga uska naam,


Vo paani pe mera naqsh banaye ga dair tak,


Kis haal mein hoon us say bicharney k baad main,


Sun kar usay yaqeen na aaye ga dair tak..!




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Meri Laghzishen Na Gina Kro,Meri Ghaltiyan Na Chuna Kro,


Ye Qadam Qdam Ki Hudood Kya?Mere sath sath chla kro,


Me khuly mizaj ka shakhs hon,
Me takallufat se mawara,


Ye jo mehrbani ka lafz hy,Isy tum na mujse kaha kro,


Kahin tum na ho jao besakon,koi bad'dua na tumhe lgy,


Ye jo khoy khoye se log hain,
Inhe dekh k na hansa kro,


Ye dua hai Rab-e-Rahim se,Teri tazgi ko khizan na ho,


Ye bahar tujhse jla kry,Sda mskrate raha kro.




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Ye Mazaq Hy Meri Zaat Se
Ye Riwaj Hy Tere Shehr Ka


Kabhi Es Taraf Kabhi Us Taraf
Kia Mizaj Hy Tere Shehr Ka




Yahan Nafraten Bari Aam Hen,Yahan Chahton Ki Qadar Nahi,




Wo Jo Khoon Tha Mere Jism Me,
Wo Anaj Hy Tere Shehr Ka,




Nahi Hadd Yahan Kisi Zulm Ki,
Na Hi Pas Hy Kisi Rabt Ka,




Wo Jo Haal Tha Yahan Kal Talak, Wohi Aaj Hy Tere Shehr Ka,




Yahan Katna Kisi Or Ko,
Hen Bahaduri Ki Alamaten,




Wo Jo Jangalon Me Bhi Tha Kabhi, Wohi Raaj Hy Tere Shehr Ka




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Kch to Ae yar ilaj-e-ghm-e-tnhai ho!


Bat itni b na brh jae k ruswai ho!


Js ne b mujhko tmasha sa bna rkha hy,


Ab zrori hy wohi ankh tmashai ho


Dobne wale to ankho se b kb nikle hn!


Dobne k liye lazim nhi gehrai ho


Men tjhe jeet b tohfey men nhi de skta


Chahta ye b nhi hn teri paspai ho


Koi anjan na ho shehr-e-mohabt ka makeen!


KASh hr dil ki hr ik dil se shanasai ho,


Yon guzr jata hy
"MOHSIN" tere koche se wo


Tera wakif na ho jese koi SODAI ho.




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Chashm-e-Saaqi ne ye kya khel racha rakha hai,
koi 'zahid',koi 'madhosh' bana rakha hai..


Jo phansa phir na kabhi usny rehai mangi,
Teri zulfon ne ajab jal biccha rakha hai..


Husn ho,ishq ho,dono ka asar yaksan hai,
Cheez hai aik magar naam juda rakha hai..


Rukh pe lehraati hainñ kabhi,shaanoñ se ulajh parti haiñ,
Tu ne zulfon ko bohat sar pe charha rakha hai..


Teri makhmour nigahon se hai ronaq sari,
Warna "SAQI" tere maikhaney meiñ kya rakha hai...!






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Aseer-e-dasht-e-wafa ka
na maajra kehna,


Tamam poochhne walon ko bs dua kehna..


Ye kehna k rat guzrti hai ab bhi aankhon me,


Tumhari yaad ka qaaim hai silsila kehna..


Yeh kehna k chaand nikalta hai baam pr ab bhi,


Mgr nahi woh shab ka ab maza kehna..


Ye kehna k
hum ne hi toofan me daal di kashti,


Qasoor apna hai darya ko kya bura kehna??


Yeh kehna k tum se bichhr k
bikhar gaye hun main,


K jesy hath se
gir jaey "AAINA" kehna...?






_nO......................
__BrAin................
______nO..........
________Pain..




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Mein apney kirdaar se aari hoon meray saath na chal,
Mein apne aap pe bhaari hoon meray saath na chal..


Mein sumandar hoon meri har ik lehar khooni ha,
Mein baray zor-o-shor se jaari hoon meray saath na chal..


Muj ko qaroon ka khzaana na samaj lena tum,
Mein to dar dar ka bikaari hoon meray saath na chal..


Zindagi tak ko mein daao pe laga deta hoon,
Mein to badnaam javaari hoon meray saath na chal..






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Akele Tum Nahi Kehte,
Tumhare Ishq Me


Mere Sb Dost Ghar Wale,
Mujhe Aawara Kehte Hain


Ay Manzil Kahan Ho Tum?
Safer Ab Kitna Baqi Hai?


Mere Paon K Ye Chhaalay,
Mujhe Aawara Kehte Hain


Tumhari Yad Se Fursat Ho,
To In Ki B Sunon Baaten


Mere Kamrey K Ye Jaalay,
Mujhe Aawara Kehte Hain


Tere Nainon Ki Masti Me,
Mai Apna Ap Kho Betha hn ""


Sharabon K Bhary Piyalay,
Mujhe Aawara Kehte Hain....!




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Ulfat k NasheMan ko khud aag laga bethey,


Gulshan ki tawaqqo Me haM Gul B ganwa bethey,


HaM dard K Maron ka dastoor Nirala hai,


Manga jo kisi ne Dil, haM jan bhi luta bethey,


DushMan k eradon ka ab khauf nahi "S.A.H.I.L"


Apnon ki inayat se jab Ghar hi jala bethy.








======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Tumhein jo Yaad rakha hai
yahi apni mohabat hai,


Mohabat karne walon ki
Mohabat kab Badalti hai,


Jo Dil me Naqsh ho jaye
or Nigahon me Simat aye,


Alamat hai ye Chahat ki
To Chahat kab Badalti hai,


Tumhi ko Chahte hain hum
Tumhi se Piyar karte hain,


Yahi Barson se Aadat hai
or Aadat kab Badalti hai.§




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Bin tery kesy Ghum_e_zist Gwara kr len,


Is sy behtr hy k dunya sy kinara kr len.


Sath mumkin nahi chalna tø chalø Yun hi sahi,


Døør sy hi tery chehry ka nazara kr len.


Aaj tk hø na saka tu tø humara lekin,


Q na hum khud kø meri jan tumhara kr len.


Qurbten apny muqdr me nahi hain shayad,


Q na hum hijr kø Qismat ka sitara kr len.


Mumkin hy k Phir wø na rahy, main na rahøøn,


Un sy kehdø k mery dard ka nazara kr len....






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Jagti raat k honton pe fasaney jaisy,


ek pal me simat aaye hon zamany jaisy,


Aqal kehti hai bhula do jo nahi mil paya,


dil wo pagal k koi baat na maany jaisy,


raasty men wohi manzar hain puraany ab tak,


bus kami hai to nahi log puraany jaisy,


Aaiena dekh k ehsas yehi hota hai,


le gaya ho waqt umron k khazaany jaisy,


raat ki aankh se tapka hua aansu SAH¡L,


makh'mali ghaas pe moti k hon daany jaisy...!






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Gazal.....
Kahaan tha itna azab Ashna Mera chehra..
Jalay Chraag to bojhne Laga mera chehra..






Wö Teray Hijr k din wo Safeer Sadiyon k..
Tu un dinon me kabhi DekHta Mera Chehra..






Sehar k Noor se Lipti  howi teri Aankhein..
Safar ki Gard me Lipta howa Mera cheHra..






Kitaab Khool  Raha tha wo apne Mazi ki..
WarQ WarQ Pe Bekhrta GEya mera CHehra..








Meray siwa koi itna udaas bhi to Na tha..
Khizaan k chaand ko AcHa laga Mera CHehra...












Ye log kyon mujhe Pehchante Nahi
     MOHSAN......
Me sochta Hun kahaan reh geya Mera CheHera..






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Laho Se Dil K Kaghaz Pr Koi Tehreer Hoti Hy,
To Ehal-E-Dil Smjhty Hain Yahi Taqdeer Hoti Hy,


Tujhe Khawbon Main Aksar Log Mujh Se Cheen Letay Hain,
Suna Hy Saray Khawbon Ki Ulat Taabeer Hoti hy,


Yahi Chahat Kisi Ko Taaj Ki Surat Nazar Aye,
Yahi Chahat Kisi K Paaon Ki Zanjeer Hoti Hy,


Suno Humdam Ye Ghazlein Besabab Likhi Nahi Jati,
K Shaair K Tasavor Main Koi Tasveer Hoti Hai.






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Chehra koi bhi aankh mein thehra na phir kabhi~
-
Dil ne kisi bhi shakhs ko chaha na phir kabhi~
-
Rootha zra si baat pe uth kr chala gya~
-
Aysa gya k laut k aaya na phir kabhi~
-
Kuch youn mila tpaak se bus ishq ho gya~
-
Wo ajnbi tha kon tha' socha na phir kabhi~
-
Us ne btaur tohfa diya tha libas-e-hijr~
-
Pehna jo aik baar' utaara na phir kabhi~
-
Mohsin! guzr chuka tha had-e-aitdaal se~
-
Jany kahan gya' usay dekha na phir kabhi....




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
 Kitni ulaj gai hai judai me zindagi,


Wo shakhs jafa kr k ehsan kr gya,


Mein jis ko bat bat pe kehta tha apni Jaan,


Dekho wohi shakhs  mujhy bejan kr gya.. !


Pehly Wo Meri Zaat Ki Taameer Main Raha,


Pher Mujko Apny Haath Se Masmaar Kar Geya,


Wo Aa Mila To Faasly
Kat'tay Chaly Gaye,


Bichra To Rasty Mere Dushwar Kar Gya,


Bichra Kuch Is Ada Se K Rut Hi Badal Gai,


Ik Shaks saarey shehar Ko Viran Kr Gya...










======================================================================
----------------------------------------------------------------------
    Mere Qatil Ko Pukaro K Main Zinda Hun Abhi,
Phir Se Maqtal Ko Sanwaro K Mein Zinda Hun Abhi,
Ye Shab-e-Hijar To Saathi Hy Meri Barson Se,
Jao So Jao Sitaro K Mein Zinda Hun Abhi,
Ye Pareshan Se Gesuu Nahi Dekhay Jatey,
Apni Zulfon Ko Sanwaro K Mein Zinda Hun Abhi,
Lakh Mojoon Mey Ghira Hun Abhi Dooba To Nahi,
Mujh Ko Sahil Se Pukaro K Mein Zinda Hun Abhi,
Qabr Se Aaj Bhi MOHSIN^ Ki Ye Aati He Sdaa,
Tum Kahan Ho Mere Yaaro K Mein Zinda Hun abhi.




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Sari Raat Ki Jagi Aankhain
College Main Kya Parrhti Hon Gee...


Yonhi khoye dil hi dil me,


Jany kya kya krti hongi..


Sari rat ki jagi ankhen..


Koi bolay,
kan na dharna
Koi hilay,
ik dam drna
Koi dekhay,
inka bhrna


Apne ap se lrti hongi


Sari rat ki jagi ankhen..


Apni kitaben prhte rehna


Uski baten krte rehna


Uski yaden garhte rehna


Jeety jeety Marti hongi


Sari raat ki jagi ankhen
College mei kya prhti hongi.


Din main sapny rat main jagti,


tera naam hi japti  hongi,


Sub cy chup k


Sub ma tery chehray ko he takti hunge.


Kory kagaz pa vo likh k tera nam


Palko pa vo rakhti hun ge


Sari rat ki jagi ankhen...


_nO......................
__BrAin................
______nO..........
________Pain..




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Mai sun k us ki sab batain
faqat itna he kehta hon
kahfa hona
mana laina
ye sadyon say rawayat hai
muhabat ki alamat hai
gilay shikway karo mujh say
tumhain yara ijazat hai
magar ik baat meri b zara tum yaad rakh laina
kabhi aisa bhi hota hai
hawaien rukh badalti hain
khizaien lot aati hain
"khataien ho he jati hain"
khafa hona bhi mumkin hai
khata hona bhi mumkin hai
hamesha yaad rakhna tum
rooth  jane say
"TALUK TOOTA NAI KRTEY"




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Apni Khushiyan Luta Kr Tujh Pay Qurban Ho Jaon_
Kash Kuch Din Tairay Shehar Main Mehman Ho Jaon_
Tu Apna Nayab Dil MujhKo Day Day Aur Phir_
Mangay_ Main Mukar Jaon Aur BayEman Ho Jaon_
Tu Mujh Pay Sitam Karay Hr KisiKi Tarah_ Main Tairi Is Ada Pr B Meharban Ho Jaon_
Tu Mairay Paaon K Nechay Say Zameen Kheench Lay_
Aur Main Taira Aasman Ho Jaon_
Tu MujhSay Dor Dor Bhagta Phiray_
Khuda Koi Mojza Karay Aur Main Taira Nam Ho Jaon_


      
¤




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Nigah Azal sy pyasi ha or kuch b nhi


Sari Dunia
khafa c hy or kuch b nhi


Gham-e-jana hy Na gham-e-dunia "ay D()sT"


Ek be-naam udasi hy or kuch b nhi.




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
     "USY kEHNA"
Bicharnay sy Mohabbat to nahi Marti
Bichar jana Mohabbat ki Sadaqat ki Alaamat hy,


Mohabbat Ain Fitrat hy
Han Fitrat kb badalti hy,


So Jb Hum door ho jain
Naiy Rishton me kho jain.
To Yeh mat Soach Lena Tum


  Mohabbat Mar gi ho Gi.
   Nhi aisa Nahi Ho Ga,
  Mery Baary me Sun k
   Jb Tum Khush Ho Jao to Jaan Lena
  abhi Meri Mohabbat hy.


 Mohabbat jo bikhr kr b
  Sada Aabad rehti hy.
  Mohabbat ho kisi sy to
  Hamesha Yaad rehti hy.
§




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
*Jb Bahar I To Sehra Ki Tarf Chal Nikla_
*Sehn_A_Gul Chor Gya Dil Mera Pagl Nikla_
*Jb Usay Dhondnay Niklay To Nishan Tk Na Mila_
*Dil Main Mojod Raha Ankh Say Ojal Nikla_
*Wo Jo Afsana_A_Gham Sun K Hansa Krtay Thay_
*Itna Roye Hain K Sub Ankh Ka Kajal Nikla_
*Hm Sukon Dhondnay Niklay To Pareshan Rahay_
*Shehr To Shehr Jungl B Na Jungl Nikla_
*Kon _Ayob_ Pareshan Nhi Tareki Main_
*Chand Aflak Pay Dil Seenay Men BayKal Nikla_


    




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Gham-e-ashiqi se keh do rah-e-aam tak na pohanchy,




Mujhe khof hai ye tohmat mere naam tak na pohanchy,




Me nazar se pi raha tha tau ye dil ne bad dua di,




Tera hath zindagi bhar kbhi jaam tak na pohanchy,




Jo naqaab-e-rukh utha di tau ye qaid b laga di,




Uthy har nigah lekin koi baam tak na pohanchy,




Ye adaa-e-beniazi tujhy bewafa mubarak,




Magr aisi be rukhi kia k salaam tak na pohanchy.....






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Dar badar ki saza se darte hain.
Khushk patte hain, hawa se darte hain.


Aandhion se kabhi mohabbat thi hamein.


Ab tu Baad-e-Saba se darte hain.


Nafraton ne wo Lazzatein bukhshin.


Chahaton ki zia se darte hain.


Logon k karam hain itne.
=JaÅZ=.


Zindigi ki dua se darte hai.




======================================================================
----------------------------------------------------------------------


Gun'gunatey hue aanchal ki hawa de mujhko


Ungliyan phair ke baalon me sula de mujhko


Yaad kr k mujhe takleef hi hoti ho gi


Aik qissa hun purana sa, bhula de mujhko


Doobte doobte aawaz teri sun jaon


Aakhri baar tu sahil se sada de mujhko


Main tere hijar me chup chap na mr jaon kahin


Main hun sakte me, kabhi aa ke rula de mujhko


Dekh main ho gaya bad naam kitabon ki trah


Meri tash'heer na kar, ab tu jala de mujhko.!




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Kabi Kuch soch k likhna kabi kuch soch k parhna,




Ye Na'mumkin si koshish hai muhabbat soch k karna,






Kisi Ka dil'ruba chehra or us pe dil'nsheen aankhen,






K Jisko dekh k jeena usi k naam pe marna,






Ye Na'mumkin si koshish hai muhabbat soch k karna,






Khayalon Me bna lena kisi ka aks dheerey sy,






Chura K rung sapnoon k kisi ki aankh me bharna,






Ye Na'mumkin si koshish hai muhabbat soch k karna¤




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Mujh se miltay hain to miltay hain chura kar AANKHAIN.




Phir woh kis k liye rakhtay hain saja kar AANKHAIN.




Main unhain dekhta rehta hoon jahan tuk daikhoon 




Aik wo hain k jo dekhen na utha kar AANKHAIN.




Us jaga aaj b bhaitha hoon akaila yaro




Jis jaga chhor gaye they wo mila kar AANKAIN


Mujhsay Nazrain Wo Aksar Chura Leta Hai "Faraz"


Mainay Kaghaz Pay ß Dekhi Hain Bana Kr AANKHAIN






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Eid ka din or itna mukhtasir "MOHSIN"


Din ginay jatay hain iss din k liay...
     Alvida Eid!!!




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Wo ek masom si chahat
Wo ek benam si ulfat
Wo meri zaat ka hisa


Wo meri zest ka qisa
Mujhe mehsus hota hy
Wo mery pas hy ab b




Wo jub jub yad ata hy
Nigaho may samata hy
Zuban khamosh hoti hy
Magr ye ankh roti hy




Mein khud se poch leta hon
Jise mein yad krta hon   
Usy kya pyar tha mujh se




Jwab "han" soch leta hon
Usy b pyar tha Shayd




Isi "Shayad" se wabsta hy ab to hr khushi meri
Yahi ek lafz "Shayad" ban gya hy zndgi meri...!








======================================================================
----------------------------------------------------------------------
 *¤*GHAZAL*¤
Baat Din Ki Nhi Muje Raat Se Darr Lgta Hy,


Ghr Kacha Hy Mera Muje Barsaat Se Dar Lgta Hy,


UsNe Tohfey Me Diye Muje Kh00n K Aansu,


Zindgi Ab Teri Her Soghaat Se Dar Lgta Hy,,


Choro Pyar Ki Baten Koi Or Baat Kro,


Ab To Pyar Ki Har Baat Se Dar Lgta Hy,


Meri Khatir Wo Kahin Badnaam Na Ho Jaye,


Is Liye Uski Her Mulaqat Se Darr Lagta Hy,


Apno Me Reh Kr Kuch Aisey ZaKhm Khaye hain,


K Humein t0 ab
Apni Zaat Se
Darr Lagta hai.*






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Maine ulfat k taqazon ko nbhya aksr


Or logon ne mera dard Brhaya aksr


Maine tuty huy logon ko uthana chaha


Or logon ne sar-e-rah giraya aksr


Maine chahat ko zmany me tmasha na kia


Apny dhalty huy ashkon ko chupaya aksr


Yun tery trk-e-taluk se shkayat kesi?


Chor deta hy mra sath b saya aksr.




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Tåmaña phir måchål jåye ågar tüm milñy åå jåö,


Ye mösåm b badål jåyè ågar tüm milñy åå jåö,


Ñåhi milty hö müj sy tüm tö süb håmdård håiñ mèry.


Zåmåñå müj sy jål jåyè ågr tüm milñy åå jåö.


Müjy gåm håi k må ñy ziñdågi må küch ñåhi påyå


Yè gåm dil sy ñikål jåyè ågèr tüm milñy åå jåö..




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Jo hum se Mansub ho Chuki hain
Wo Daastane sambhal rakhna


Meri Amanat samaj kr beety dino ki yaaden sambhal rakhna


In dino k liye jub me Taweel Hijrat se lot aaon


Udas shaamo me sath dengi meri Ghazlein sambhal rakhna


Siwaye teri talab k is dil me koi bhi Aarzu nahi hai


Har ek jazba
Har ek Dharkan
Har ek Hasrat sambhal rakhna..


Is dil ki hai bus yahi tamana Tumhi se milna
Tumhi ko paana


Agar Zara Si ho dil me Chahat meri wafain Sambhal rakhna.






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Dostoo....!
Tum pa b guzra ha kbi yeh aalam..?


Nend ati nae or khwab nzr aaty hn--


_nO......................
__BrAin................
______nO..........
________Pain..




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Udasiyon Ka Sabab Jo Likna,
To Ye Be Likna,
K Chaand, Taary,SHahab, Ankain Badal Gay Hain,
Wo Zinda Lamhay Jo Teri Raahon Mein,
Tery Aany K Muntazir Thay.
 WO thak K Saayon Mein Dal Gay Hain,
Wo Teri Yaadain,
Khayail Tery Wo Ranj tery Wo Maalal Tery,
wo Teri Ankain Sawal Tery,
Wo Tm S Mery Tamam Rishtay Bichar Gay Hain,UJAR gay Hain.
Udasiyon Ka Sabab Jo Likna to Ye B Likna.
Larztay Honton Py Larkhrati Dua K Sooraj Pigal Gy Hain Tamam.
Tamam Sapny He Jal Gy Hain.








======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Sulagti chandni ratein hamein wapis ata kr do.


Adhori woh mulaqatein hamein wapis ata kr do.


Khayal-o-khwab mein pehron
visal-e-yar ki masti.


Wafoor-e-shouq ki batein hamein wapis ata kr do.


Khafa hona,
bigarna,
rothna phir bhi tarap uthna.


Mohabbat ki woh soghatein hamein wapis ata kr do.


Hr ek mousam mein chokhat par tumhari aahatein sun'na.


Woh jalty din,
woh num ratein,
hamein wapis ata kr do..










======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Suna hai yaad karty ho,


K jab b shaam dhalti hai,
Hijr mein jaan jalti hai,


Tum Apni raat ka aksar Sukoon barbaad karty ho,


Suna hai yad karty ho,


K jab panchhi loat aaty hain,
Ghamon k geet gaaty hain,


"Suno! tm loat aao na"
Yehi fariyad karty ho,


Suna hai yad karty ho,


Sitary jab falak pe jagmagaaty hain
Wo beety huwy pal khoob rulaty hain,


Tum us dam apni aankhon main mujy abaad krty ho,


Suna hai yaad karty ho
Mujy tum yaad karty ho...
      




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Kbi us ka chehra Gulab hua krta tha


Sb ki nzron ka wo khwab hua krta tha


Chand sitare us k samne maand prte the


Wo to khud mhtab hua krta tha


Lehja esa tha jese khilti hui kali


Apni batön me wo la-jwab hua krta tha


Phir yun hua use ishq hö gya kisi se


Mohbat lafz jis k lye mazak hua krta tha


Phir tot k bikhra esa k sambhal na paya


Wo jo apni misal ap hua krta tha


Ab tanhai k andherön me kahin gum hai


Wo ek shakhs jo Aftab hua karta tha.




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Yeh sadion purani kahani ha yaro..
Tmhen aj ma jo sunany chla hun..
Khayalun khayalun ma lay kR tmhen phir..
Qadem aek manzar dikhany chla hun..
Sa.adat k purnor lamhay,yeh sub hain..
Falak cy vahi k utarny k din hn..
Basi ha kitab.o.hikmat ki bsti..
Yeh deen seekhny k, nikharny k din hn..
Hain ratoun ko sajday tou din ko hn rozay..
K eman k bn.nay sanwarnay k din han..
Yeh sufha ki mehfil,yeh pur kaif shamen..
Hazor.a.nabi ma thehrny k din hn..
Sahaba bakhobi mgr jantay hn.
K rehna ho gr un ki sohbt ma daem..
Tou ALLAH ki khatir yeh marny k din hn..
Hoe ha jo qindel.a.tohed roshan..
Patangoun k jalny bikhrny k din hn..
Esi roz.o.shb main,esi kashmakash main..
Sahabi ek aey jo milny Nbi(s.a.w)  cy..
Krn ta.k vo b islam par baiyat..
Mily ta.k un ko b uqba ki rahat..
Shru silsila ehd ka jb hua to..
Vo boly ba.sad. ehtaram.o.muhabt..
Jihad or sadqa nahe mry bus main...
Bus en do ki main maazrat  he kru ga...
Tou dst.a.mubarik ko khencha Nbi(s.a.w) ny..
Btaya k aesy ma baiyat na loun ga..
Phir un cy Ap(s.a.w) nay pucha..
Na sadqa he do gy,na gazwa kro gy..
Bta.o to janat ma k.cy chlo gy?
Usi aek lmha smj bat i..
Eta.at guzar.a.
shah.a.anbia ko
K janat ka soda to sasta nae ha ..
K janat ka soda to sasta nae ha..
Kahen ja k tkmel baiyat ho phir..
Jawano fqt tum cy yeh puchta hun...?
Tum apny nbi cy ahad torh lou gy..?
Na kharchay kro gy , na jangen lro gy.
Maqasid ko aala na arfa kro gy.
Jo sekhi ha tm ny rami chorh do gy?
Tou kia apny bistar pa he jan do gy?
Btao musalman jawano btao..
Btao musalman jawano btao




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Suna hai...
Jangalon ka bhi koi Dastoor hota hai...


Suna hai...
Shair ka jub pait bhar jaye to wo Hamla nahi karta...


Suna hai...
Hawa k taiz jhonkay jab Darakhton ko hilatay hain,
To Mena apne Ghar ko bhool kar
Kawway k andon ko peron mein thaam leti hai...


Suna hai...
Ghonslay se jab koi Bacha giray to sara jungle jaag jata hai...


Suna hai...
Pul koi tootay
or selab aa jaye
to
kisi Lakri k takhtay pr
Gulehri,
Saanp,
Cheeta
or Bakri sath hotay hain...


Suna hai...
Jangalon ka bhi koi Dastoor hota hai...


Munsifo...
Mere Mulk mein bhi
ab Jangalon ka hi
koi Dastoor le aao...




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Mai sun k us ki sab batain
faqat itna he kehta hon
kahfa hona
mana laina
ye sadyon say rawayat hai
muhabat ki alamat hai
gilay shikway karo mujh say
tumhain yara ijazat hai
magar ik baat meri b zara tum yaad rakh laina
kabhi aisa bhi hota hai
hawaien rukh badalti hain
khizaien lot aati hain
"khataien ho he jati hain"
khafa hona bhi mumkin hai
khata hona bhi mumkin hai
hamesha yaad rakhna tum
rooth  jane say
"TALUK TOOTA NAI KRTEY"




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
"Jo Yakeen Ki Raah Par Chal Pre,
Unhen Manzilon Ne Panaah Di..
Jinhen Vaswason Ne Dara Diya,
Wo
Qadam Qadam Par Behak Gay.."


 TRUST ON ALLAH




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
    ¤(Ghazal)¤


Mere Pehlu Main Bhi Ek Shamma Jala Karti Hai.
:
Jis Ki Lou Se Teri Tasvir Bana Karti Hai.
:
Samne Tere Zuban Band Rehti Hai Mgr.
:
DiL Ki Jo Baat Hai Wo Aankh Adaa Karti Hai.
:
Chup Kiyon Ho Hum Se Koi Baat Karo.
:
Aise Khamoshi Se To Takleef Barha Karti Hai.
:
Shama Jalti Hai To Zamany Ko Pata Chalta Hai.
:
DiL K Jalne Ki Khabar Kis Ko Hua Karti Hai.




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
    (G A Z A L)
"Apni ankhon K sabhi ashq Baha Kar Sona,


Tum Meri Yad Ka Her Deep Bujha Kar Sona,


Ek Sitara B Mery Khayal Ka Baqi na Rahy,


Chandni Shab K nishanat Mita Kr Sona,


Dar Lagta Hy k ye neend Kahin Cheen na Ly,


Tera Har Roz Mery Khawab Men aa Kr Sona,


Bad Men Log Gira Dain To Koi Baat nai,


Har Tarf Pyar Ki Deewar Utha Kr Sona,


Subha Hoty Hi Tery Shehr Se Jana Hy Mujhy,


Aaj Ki Raat Zara Mujh Ko Mana Ker Sona...






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
      ¤%GAZAL%¤


Jab sar-e-sham us ne zulfon ko sanwara hoga,


Hath me kangan aankh main kajal aawara hoga.


Us k joray main sajja wo sufaid gulaab,


Raat ko sotey main kisi ne to utaara hoga.


Aalm-e-tnhaai main shab bhar karwtain lay kr,


Koi to ho ga jisay us ne pukaara hoga.


Haye!
Wo neend main doobi hui makh'moor aankhain,


Jis ne daikha wo dil waheen pe haara hoga.


Us k be-taab larztey huwey honton pey FaRAAZ,


Humein yaqeen hai machlta hua wo naam hmara hoga..










======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Shama jali parwanay jagay...
Naqsh ubhray afsanay jagay...
Gham jaga gham khanay jagay..
Sun k meri rodad.a.muhbt...
Apny or beganay jagay...
Basti basti shor mcha ha...
Shayad phr dewanay jagay...
Saghar challkay kirnen photein...
Wo daikho mah khanay jagay...
   -Jago or jgao-
      -pakistan-


_nO......................
__BrAin................
______nO..........
________Pain..




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
 Kitni ulaj gai hai judai me zindagi,


Wo shakhs jafa kr k ehsan kr gya,


Mein jis ko bat bat pe kehta tha apni Jaan,


Dekho wohi shakhs  mujhy bejan kr gya.. !


Pehly Wo Meri Zaat Ki Taameer Main Raha,


Pher Mujko Apny Haath Se Masmaar Kar Geya,


Wo Aa Mila To Faasly
Kat'tay Chaly Gaye,


Bichra To Rasty Mere Dushwar Kar Gya,


Bichra Kuch Is Ada Se K Rut Hi Badal Gai,


Ik Shaks saarey shehar Ko Viran Kr Gya...










======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Marti hui zameen ko bachana para muje
Badal ki tarah zameen pe ana para muje
Us ajnabi se hath milane ke waste
Mehfil main sab se hath milana para muje
Wo kar nahi raha tha meri bat ka yaqin
Phir yun hua ke marr k dikkana para muje
Bhule se meri taraf koi dekhta na tha
Chehre pe ek zakham lagana para muje
Us bewafa ki yaad dilata tha bar bar
Kal aaine pe hath uthana para muje
Aise bicher kar usne marr jana tha
Uski nazr main khud ko girana paRa muje.




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Band dareeche,
Sooni galiyan, Andekhe anjane log.


Kis nagri ma aa nikle he,
Pagal hum deewane Log.


Ek hum hi na wakif thehre,
Roop nagar ki galiyon se.


Bhais badal kar milne waley,
Sab jaane pehchane Log.


Shikwa kya aur shikayat kesi?
Akhir kuch bunyaad to ho.


Tum par mera Haq hi kya he?
Hum thehre begaane log.


Shehar kahan khaali rehta he,
Ye Darya har dam behta ha.


Aur buhat se mil jayenge,
Hum jese deewane log...!


>




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Ajb Rasm hy Chaara Garon ki Basti Men


Lga k Zkhm Namak se Masaaj Krty hyn


Ghreeb_e_Shehr Tarsta hy ik Niwale ko


Ameer_e_Shehr k Kutte b Raaj Karte Hyn..!




======================================================================


----------------------------------------------------------------------




"Kaisa Tazaad Hai Ye Sab?






Ek Taraf To Kehty Ho,






Tum Har Tarha Se Meri Ho,






Aur Dooji Taraf,






Kisi Bhi Tarha Se Tumhen,






Mein Paa Nahi Sakta.. . /






======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Teri yad,Tanhai, Khamoshi, or behty aansu...


Akhri sham December ki kia kia tohfy lai ha....!!




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
 Us Ki Ankhon Min      Nazar Ata Hai       Sara Jahan        Mujhko


         Afsoos K     Un Ankhon Min      Kbhi Khud Ko        Nhi Dekha.




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
 uSAy To Kho Diya Hy Ab Na'Jane Kis Ko Khona Hy....!!


Lakeero Mein Judaai Ki ALamat Ab Bhi Baaki Hy.....!!




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
 Mera bachpn hi rehta Tu acha tha---!!


  Hazaro Lrkion ko mushkil me dal diya mai nay Jawan hokaR---!!   Masha-ALLAH  (Jal Mat Yaar)




======================================================================




----------------------------------------------------------------------
Bus Aik Hi Ghalti Hum Sari Zindagi Karte Rahay---!!


      Dhool Chehre Par Thi Aur Hum Aaina Saaf Karte Rahay---!!




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
: BAS EK QDAM OUTHA THA GLAT RAH SHOQ MYt;
                 




      MANZAL TAMAM UMER MUJY DONDTI RAHI!










======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Ye Duniya Aik Lamhy Mein Tmhe Barbaad Kar Dy Gi---!!  


   Mohabbat Agar Mil B Jaey To Usay Mash'hoor Mat Karna---!!




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
 Muhabat main ek lmha ajeb aya tha. 
Jab ban kr wo mera hRef aya tha. 
Khta tha bhol jo ab tum b mujy
  ye kehtay howay pehli dafa wo bohat kareb aya tha..




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
 Tu wahin haar gaya tha mere buzdil dushman...  


   jb mujh tanha k muqabil tera lashkar nikla.      .




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Udasian To Mare Ehad Ki Alamat Hain---!!  


  Main Hans Para Tou Bohat Peechay Loat Jaun Ga---!!




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
 Duniya Mein Mera Koi "Dushman" Nahin Hai "Faraz", 
Q k . 
Q k  .  
Main "khopra Candy" Khata Hoon Aur Sab Ko "Dost" Banata Hoon.....!:- kikikikikikiki:




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Aawara Hai, Ta'reek Fizaon Mein Azal Sy,,,   




Ye Chaand Bhi Hum Ishq K Maaron Ki Tarah Hai....!!!




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
KOn JanY K NaYe SaL me Tu Kis Ko ParhY


Tera MaYar Badalta hY Nisabon Ki Tarah


Yad To Hon Gi Wo Baten Tuje Ab B Lekin


Shelf Me Rakhi Hoi Band Kitabon Ki Tarah..




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Poetry
Sakoot-e-Lb Mri Bat Se Ziada Hy


Tra Firaq Tri Mulaqat Se Ziada Hy


Ye Ek Shikast Jo HumKo Hui Mohbt Me


Zmane Bhar ki Fatohat Se Ziada Hy


Umeed Tere Any Ki Aj Km Hy Mgr


Mre Dil Ka Drd B kal Rat se Ziada Hy


Main tm se mohbt to Kr Betha hoon "Mohsin"            


Magar Ye Silsila Mri Oqat se zyada ha...




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Veeran boht hoon wasal sy Tashkeel kr Mjhy,


Tu mujh say piyar kr zara tabdeel kr mjhy,


Sehra ki tapti rait sy aa kr mjhy bacha,


Tu thanday meethay pani ki ik jheel kr mjhy,


Ho jaain na kharab kahain meri aadatain,


Har huqm par na es tarah taa'meel kr mjhy,


Ab es trah se mujh ko adhura na chor tu,


Main hoon tera wada to ab takmeel kr mjhy,


Chhu kr mera wajood tajjali si bakhash dy


Main ik andhairi raat hon Qindeel kr mjhy.  ¤  .    




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Dhonda Sukoon Ko Her Jaga Umer-e Rawan Tak...


       YA ALLAH...


Kahin Or Na Mila Sakoon Tere Sajde K Siwa....!!




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Wahan Na Phool khilte hen Na hi Mosam Badalte hen


Wahan to Kch nhi hota jahan pr TUM nhi hote


Yahan wese to Her Soghaat asani se milti h


Pr Mera DIL Nhi lgta Jahan par TUM nhi hote


Yahan to Log Sadyon ko b Lamhon me Badalte hen


Mera ik Pal Nhi kat'ta
Jahan Par TUM nahi hote


Sabab Roney ka WO Pochain to Qasid' itna keh dena


Mje "Hasna" nhi Aata Jahan pr "TUM" nhi hote...........




======================================================================


  [ Alvida ...
Poray Chand Ki Adhi Raat








Meri Tarah He Be'bus Hai










Keh Rahi Hai Mujh Se








" Ab Meri Bsss ha.....!






======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Raat uss ne pocha tha
tumko kaisi lagti hai
CHANDNI DECEMBER ki??


Main ne kehna chaha
saal-o-maah k baarey mein
Guftagu k kya mahni
chahy koi manzer ho?
Dasht ho samander ho?
June ho december ho?
Dharkanon ka her manzer
Manzaron peh bhari hai
Saath jab tumhra ho!
Dil ko aik sahara ho!
Aisa lagta hai jaise
Ek nasha sa taari hai,
Laekin uss ki qurbat mein
Kuch nahi kaha main ne
Takti rah gayi mujhko
CHANDNI DECEMBER KI...!!   


>




======================================================================






"Hawa Ne Rukh Jo BadLa To




Yeah Kya Ho Gya Tum Ko




Arey




Tum Kyun BadaL Gaye ???










======================================================================




----------------------------------------------------------------------




"Kaisa Tazaad Hai Ye Sab?






Ek Taraf To Kehty Ho,






Tum Har Tarha Se Meri Ho,






Aur Dooji Taraf,






Kisi Bhi Tarha Se Tumhen,






Mein Paa Nahi Sakta.. . /






======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Aangan mein Ghanay Pair k neechay teri Yaadain,


Maila sa Lga Leti hain achha nahi krtin...






======================================================================


 Dil-e-Gumrah Ko Aye Kaash Ye Maloom Ho Jata..




 Gunah Us Waqt Tak Dilchasp Hy Jb Tak Ho Nhi Jata...






----------------------------------------------------------------------
Koi runj ka lamha na kisi ke paas aaye..


 Khuda karay ke naya saal sub ko raas aaye......!




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
  CHALO BAATAIN KARAIN ITNI,


Falak Ki Goud Mein Simtay Sitaray thak K So Jaein,


Zameen Per Bikhray Manzar Sab k Sab Hairaan Ho Jaein,


Utarti Aabsharain Shor Karna Hi Bhula Baithen,


Hawa Hairat Se Tham Jaye,


  CHALO BAATAIN KARAIN ITNI,


Bina Matlab,
Bina Maqsad,


Chalo Na Boltay Jaein,


CHALO BAATAIN KARAIN ITNI,


K Ik Lamha Zara Ruk Kar Tmhain Kuch Sochna,


Dushwar Ho Jaye,


aur Aisay Mein Achanak Hi Tmhari Zuban Se,


Mohabbat Ka Iqrar Ho Jaye....




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Ay naye SaaL
bta tujh mein naya kia hai?


Hr tarf khalq
ne Q shor mcha rkha hai?


Roshni din
ki wohi, taaron bhri raat wohi..?


Aaj  bhi hum
ko nzar aati hai
hr baat wohi..!!


Aasman bdla
hai na bdli ye afsurda zameen


Ek hindsay
ka bdalna koi jiddat to nhi..


Agly brson
ki tarha hon ge qareeny tere..


Kisy maalom nahi 12 mahiny tere..?


Be-sabab
dete hain Q log mubarak badain


Sub kya bhool gaye waqt ki karwi yadein..?


Tu nya hai
to dikha subha nai, sham nai


Wrna in
Aankhon ne dekhy hain naye SaaL kai.  








======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Ab bhi waqt hai Tum mujhe apnalo


main tmhen dunya ka har sukh doungi


tm apne dil se pucho
kisi ki na suno


main tmhara har qadam par saath nibahun gi


main mar kar bhi tmhara saath nibahungi


tm mujh se milo to sahi


kisi say darna nahi
main sab se nimat lungi






main tmhary sab dukh samet kar tmhari zindgi ko hasen aur purkef bana dungi


Ab bhi waqt hai mujhy apny dil m basa lo warna pachtao gy
 Faqat:
Tmhari sirf tumhari


apni


*Namaaz*




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Hum hain Aam sey Log!
Hamara Aam sa Lehja!
Hamara Aam sa Chehra!
Aam si Baatein


Aam si Chaahatein!
Aam sey Din!
Aam si Raatein!
Hum mein to kuch Bhi Khaas nahi!


Phir. . . !






Aap kaisey hume Yaad rakh pao gey. . ?




Shayad is tarah . !






K wo Shakhs kitna Aam sa tha . .








======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Dekh le aa k zara chain se sonay waley


Kaise rotey hain teri yaad main roney waley


Nahi aaya mere marney pe koi bhe apna


Mere qatil hain meri laash pe roney waley


Tujh ko aayegi lahu se bhe wafa ki khushbu


Mere ashkon k nishan chehrey se dhoney waley


Aadmi lakh sanbhal kar bhe chaly to yaro


Hadsey ho k he rehtey hain yeh honay waley


Mujh ko gheron se nahi koi shikayat


"Wasi"


Mere apney hain meri kashti dubone wale...!!!








======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Kal raat janay kya huva"


kuch dair pehly neend se"


kuch ashk milny aa gaye"


kuch khawab b tootay huvay"
kuch log b bhuly huvay"


kuch rasta bhatki huvi"
kuch gard mein lipti huvi"


be rabt si sochein kai"
bhooli huvi batein kai"
ek shakhs ki yadein kai"


phir dair tak jage rhe"


sochon mein gum bewaja...


ungli se thandy farsh pr"
ek naam bus likhte rhe"


kal raat hi wo raat thi"
kuch dair pehly neend se"


"main dair tak rote rahe"








======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Meri Laghzishen Na Gina Kro,Meri Ghaltiyan Na Chuna Kro,


Ye Qadam Qdam Ki Hudood Kya?Mere sath sath chla kro,


Me khuly mizaj ka shakhs hon,
Me takallufat se mawara,


Ye jo mehrbani ka lafz hy,Isy tum na mujse kaha kro,


Kahin tum na ho jao besakon,koi bad'dua na tumhe lgy,


Ye jo khoy khoye se log hain,
Inhe dekh k na hansa kro,


Ye dua hai Rab-e-Rahim se,Teri tazgi ko khizan na ho,


Ye bahar tujhse jla kry,Sda mskrate raha kro




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Ye azmat-e-baatil dhoka hy,
Ye Hebat-e-kafir kuch bhi nhi,
Mitti k khilone hain ye saray,
Ye kufar k lashkar kuch bhi nhi,
"ALLAH"se drne walon ko,
Batil se drana mushkil hy,
Jb Khof-e-Khuda ho dil me,
Ye qaisar-o-kisra kuch bhi nhi,
Dastoor bhi hy,
Tanzeem bhi hy,
Tehzeeb bhi hy,
Taleem bhi hy,
"QURAAN"me sb kuch hy,
"QURAAN"se bahir kuch bhi nhi,
"ISLAM"agr manzoor nhi,
"QURAAN"agr dastoor nhi,
Phir afsos hy
is Azadi pr,
Ye Mulk-o-Millat kuch bhi nhi.
§




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
dil+se: Itnay zaalim na bano kuch to muravvat seekho...
 "wassi"
 Tum pay martay hain to kya maar he daalo gay hamain.... 
Plz..




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
cheeko: Mila K Aankh Kar Lete Hain Qaail Woh Apna---!! 


   Baat Karty Hain To Lafzon Se Hara Dety Hain---!!




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
  "UMEED"


Kisi ki yaad dil mein hai koi ehsas baqi hai


Badalte mosmon k darmiyan 1 raz baqi hai


Abhi to main safr mein hon milen gi manzilen mujhko


Mgr in raston k darmiyan1 sath baqi hai


Kahin pr shaam dhalti hai kahin pr raat hoti hai


Abhi to "chandni" hai "chand" ki raat baqi hai


Chale aao kisi din tum hamara haal b dekho
Hamara jism murda hai mgr1 saans baqi hai


Umeed hai phr milega wo hamen1din


Khuda pr hai bharosa abhi Khuda ki zaat baqi hy




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Rishta_e_tishna labi waqt se jorra jaye
Lamhay lamhay ki rag_e_jaan ko nachorra jaye


Lutf to jab hai safr ka mere humsafro!
Apne saaye ko b raastay me na chorra jaye


Dil tujhe bh0olna chahay b to mushkil ye hai
Kis trha sans ki zanjeer ko torra jaye


Shehr_e_yaaran na sahi dashat_o_bayabaan hi sahi
Seel_e_wehshat ko kisi simat to morra jaye


Wo pighalta hai kahan ek ghazal se Mohsin
Ek teeshay se to kohsaar na torra jaye..




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Dost Ka Imtehan Musibat Mein Hota Hai.


Biwi Ka Imtehan GHhurbat Mein Hota Hai.


Momin Ka Imtehan Ghussey Mein Hota Hai.


Aankh Ka Imtehan Bazaar Mein Hota Hai.


Zaban Ka Imtehan Mehfil Mein Hota Hai.


Dil Ka Imtehan Ishq Mein Hota Hai.


Haath Ka Imtehan Dastarkhwaan par Hota Hai.


Insan Ka Imtehan Qabr Mein Hota Hai.


Dua hai k Allah Aapko Har Imtehan Mein Kamyaab Karey
  
    . " (AMEEN) " .




--------------------------------------------------------------------
Roz-o-shab youn na azeeyat mein guzary hoty,
chainn aa jata agar khail k hary hoty.


khud sy fursat he muyassar nahi aae warna,


Hum kisi aor k hoty to tumhary hoty.


Tujh ko bhi gham ny agar theek sy barta hota,


Tery chehray py khadokhal hamary hoty.


Aik bhi maoj agar humari hamayat karti,


Main ny us par kai log utary hoty.!


Lgg gai aor kahein ummr ki poonji wrna.


Zindgi hum teri dehleez py hary hoty.


kharach ho jaty isi aik mohabat mein "sameer"


Dil agar aor bhi seeny mein hmary hoty...






>




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
dil+se: Mujhe Maloom Hai Mera Muqaddar Tum Nahi..   Lekin,  


"Meri Taqdeer Se Chhup Ker Merey ik Baar Ho Jao"






----------------------------------------------------------------------
geeosam: AsSlam-o-AlaiKuM "GO0D MORNING" KhauF-e-Raqabat Se Tumhe Khwahish Na Bataai Dil Ki, '  Main Jissey Chahoon Usse Log Bohat Chahtey Hain.!




======================================================================


Itnay zaalim na bano kuch to muravvat seekho...
 "wassi"
 Tum pay martay hain to kya maar he daalo gay hamain.... 




======================================================================


Mere zarf ka ye qusoor tha,
K main drd-e-dil na chupa ska,


Mere zarf ne b dagha diya,
Main to zarf b na bcha ska,


Mera nafs aik alaao tha,
Meri rooh tak ko nigal gya,


K main khwahishon k  alao ko,
Na jla ska na bujha ska,


Jo di ik dost ne aziyytain, Theen wo dushmano ki inayaten,


Main tmam umr darta rha,
Koi dost phir na bna ska,


Mujhe muflasi ne thaka diya,
Mere walwalon ko sula diya,


Mujhe log keh k juda huay...
K Ye dosti na nibha ska.... !




======================================================================
---------------------------------------------------------------------
: Ab k baar dekho Dety hain kya faraib---!!




    Woh phir sey mil rahay hain Bari saadgi k saath---!!  ()




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Huwa Jo Kuch
Bhulana Chahiye Tha,
UsSey Ab Laut Aana Chahiye Tha,
Yeh Sara Bojh
Mere Sar Pe Kyun Hai,?
UsSey Bhi Ghum!
Uthana Chahiye Tha,
Kyon Chup Chap Hi Ta'aluq Torr Diya?
UsEy Pehly Btana Chahiye Tha,
Us Ki Yaad Ki Khushbu Hai Dil Main,
JisS Ko Mujhe Bhulana Chahiye Tha,
Zara Si Ghalti Pe Mujh Se Rooth Betha,
Usey Kya Bus Bahana Chahiye Tha,
Mujhe Paa Kar UsSey Bhala Kya Chain Milta,
JisSey Sara Zamana Chahiye Tha.




>=




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Lafz tooty Lab-e-izhar tk aaty aaty
,,,,
Mrr gaye hm tery miyar tk aaty aaty
,,,,
Hm smajty thy k kuch waqt lagy ga shayd
,,,,
ek inkar ko iqrar tk aaty aaty
,,,,
Hath rakhna pra seeny py hamen b akhir
,,,,
dil kahan rehta hy dildar tk aaty aaty
,,,,
Aik lamhy ki musafat b bari hoti hy
,,,,
hum ko to umr lagi yaar tk aaty aaty
,,,,
" Aqi " ye baat samaj me nhe aany wali
,,,,
reh gaya sach hi faqat daar tk aaty aaty..........!!!!!






======================================================================


----------------------------------------------------------------------


  ( WADA KARO )


Khoshiyon Ki Tarha Meri Har Sans Mai


Pyar Apna Basany Ka Wada Karo


Rang Jitne Tumhari Mohabbat K Hain


Mere Dil Mai Sajane Ka Wada Karo


Hai Tumhari Wafaon Pay Mujh Ko Yaqen


Phir B Dil Chahta Hai Mere Dil Nashen


Yun Hi Meri Tasalli Ki Khatir Zara


Mujh Ko Apna Banany Ka Wada Karo


Sirf Lafzon Se Iqrar Hota Nahi


Ik Janib Se Hi Pyar Hota Nahi


Main Tumhain Yad Rakhne Ki Khaon Kasam


Tum Mujhe Na Bhulany Ka Wada Karo:'.




======================================================================




----------------------------------------------------------------------


Hum se juda hony ka tasawar bh  na karna,


hum aisy sitam gar hain k manaya nahi karty,


jis dar pe bhi gaye hain bas ek baar gaye hain,


phir loat ke  us dar pe jaya nahin karte,


aankhon se pilaao ge to aa jayen ge peene,


paimano se to peene hum jaya nahi karte,


apna to ye shewa hai
SAQI ghoar se sun lo,


khud hi tarap lety hain dosro'n ko hum tarpaya nahi kartay......,!




>




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Chand lines pesh kar raha hun,
pasand aaen to duaon se navazye ga aur frwd bhi kijye ga.


























----------
----------
----------
----------
----------




======================================================================


======================================================================


Udaas tehreer parh k mere sanam muskura na dena


Ye aakhri khat main likh raha hon khayal karna jala na dena


Guzar Rahi hai tumhari kesey bicharr k ham se Rula k ham ko


Haqeeqaton ko zaror likhna anaa ki khatir chupa na dena


Koi jo pochay kidhr gaya wo jo teri mehfil ka tha sahara


Jo furqaton ka sabab baney thy ksi bashar ko bta na dena


Mein mar b jaon to muskurana ehsas e gham ki na chhoot khana


Jo qurb e gham se Nigahain bheegen to Rukh se aanchal hata na dena


Laho se tehreer kr raha hon mein apni sari kahani  MOSHIN


Jo phaar b do to paas Rakhna Hawa mein tukrey ura na dena.












----------------------------------------------------------------------
 Mohabbat Bhi Hoti Hai To Zaroorat K Paish-e-Nazar---!!     


Ab Ek Nazar Mein Lutt Jaane Ka Zamana Nahi Raha---!!  




===========================================
Toot Jata Hai Garibi Mai Woh Rishta Jo Khas Hota Hai,






 Hazaro Yaar Banty Hain Jab Paisa pass Hota Hai...




======================================================================




----------------------------------------------------------------------
dil+se: Kitabein Ishq Ki Parh Kar na Samjho Khud ko Aashiq Tum


"crystal Crystal"


Ye Dil Ka Kam Dil Walon Ko Karny Do To Acha Ha        




======================================================================




----------------------------------------------------------------------
...!Best !...
Un ka
andaz-e karam
un pe wo aana
dil ka,


Haae wo waqat,
Wo batain,
Wo zamana,
Dil ka,


Na suna us ne Tawajo se fasana Dil ka,


Umar guzri par
Dard na jana dil ka,


Dil lagi,
Dil ki lagi ban k
mita deti hai,


Rog dushman ko bhi ya
RAB
Na lagana dil ka,


Wo bhi apne na
hue dil bhi gya hathon se,


Aise aane se tu behtar hai
Na aana dil ka,


Un ki mehfil main "......"
Un k tabasum
ki qasam


Hum dekhte reh gae
Hath se jana
DIL ka...






======================================================================




----------------------------------------------------------------------
 Jis se Aanchal bhi nhi Sar ka Sambhala jata,




  Us se kia Khak Tere Ghar ki Hifazat hogi ?  




======================================================================
Message type: SMS
To/From: +923124044044
Date/Time: 13th January 2011 / 1:46:21 pm
Folder:  shairi..!
----------------------------------------------------------------------
 Wo Jo Auron Ko Btata Hai  Jenay K Tariqay...!


  Khud Apni Muthi Mein Meri Jaan Liye Betha Hai...! 




======================================================================




----------------------------------------------------------------------
    ^ AnSøOø ^


MehfiL Mein Tera Zikr Kabhi,,


Main Jan K Nai Karta,,




Ke Kahin Dorr Ke Na Aajay'ain,,




PalKon Ki Chokat Pay,,




Tere Naam Ke Aansoo. . ./






======================================================================


----------------------------------------------------------------------
* Mere Dil mein Koi Masoom sa ßacha Rehta Hai, ,


   \ \ /\ / /
    \_/  \_/  A  $  I




* Jo Tujhe Sochta Rehta Hai, ShArarat Ki Tarha..!!
--- -




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Dar-e-Fana
Mein
Naqsh-e-Baqa
Chhor Jaon Ga.


Mein
Apne Baad Apni
Sada Chhor Jaon Ga.


Hein Or
B Chaman Meri Khushbu K Muntazir.


Mein Is
Chaman Ko
Misl-e-Saba
Chhor Jaon Ga.


DoonGa sabi Kaliyon Ko
Payaam-e-Shagufatgi.


Gulshan Mein
1 Husn-e-Ada
Chhor Jaon Ga.


Ley Jaon Ga
Mein Apni Wafa
Ko B Apne Saath.


Or un
K Paas
Yaad-e-Wafa
Chor Jaon Ga.


Jo Mere
Dil Pe Zakhm
Lagate Rahay Sada.


Mein
"UN" K Waste B
Dua Chhor Jaon Ga..






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
*. . .Kaha Uss Ny Yeh Logon Sy Muhabbat Ek Dua Bhi Hy,


mOhS!n. . .*


Jo Lag Jaye Kisi Ko To Bohat Achi Guzarti Hy. . .*






======================================================================
Message type: SMS
To/From: +923124044044
Date/Time: 13th January 2011 / 1:49:57 pm
Folder:  shairi..!
----------------------------------------------------------------------
("*Tum Ny Tø Bhula Deny Men Zra Dair Na Ki,,


     ;*'' ''*    
     '^**~,    
     *:, .;*;'/\H¡L


Kuch Dair Tø Uth'ta Hai Charaghøn Se Dhuwan Bhi*")




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
(*"Tabeebon Se kya Pochun Ilaaj-e-Dard_e_DiL


  /""\  /""''|
 /     \/      |
/__/\__/\__O H S I N


Marz Jab ZindGi  khud ho To Dawa KeSi, DUA KeSi.."*)




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Dekh le aa k zara chain se sonay waley


Kaise rotey hain teri yaad main roney waley


Nahi aaya mere marney pe koi bhe apna


Mere qatil hain meri laash pe roney waley


Tujh ko aayegi lahu se bhe wafa ki khushbu


Mere ashkon k nishan chehrey se dhoney waley


Aadmi lakh sanbhal kar bhe chaly to yaro


Hadsey ho k he rehtey hain yeh honay waley


Mujh ko gheron se nahi koi shikayat


"Wasi"


Mere apney hain meri kashti dubone wale...!!!


>




======================================================================
---------------------------------------------------------------------
          Teri talaash
           main mera
    wajood hi na raha...
..""SAGAR".. 
    Tabah kar gai meri
    hasti ko Aarzu teri..




======================================================================
--------------------------------------------------------------------
kamran71: Kya Bura Hai K Main Iqrar-E-Muhabbat Kar Loon us SE


      dear MOHSIN"""   


 Log Waise Bhi To Kehte Hain Gunah-Gaar Mujhe..




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
 Is jahan mein koi basti mujhe aise milti....               
                            js k her shakhs ki baton pe yaqeen kr skta......!




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
 Dil k darwaaze hamesha kholey rakhna      


"SAGAR"


 Kuch log dastak k aadi nahi hote...!




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Mohabbaton k safar mein JanA !




JudaaYi ka Jo Lamha Aaye




To


Chahaton k safeer logo




Juda honY walon ko




Juda hone se




Rok Lena . . . /


[ B i S m i L ]




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
   Faqat Itni Guzarish hai ,,


Mujhe Roshan Diya Dena ,,


Tumhen Kis Ne Kaha Tha Yeh ,
Meri Basti Jala Dena ,,


Jise Barish K Pani Men ,
Baha Kr Muskuraty Thy ,
Muje Kaghz Ki Wo Kshti ,
Zara Phir Sy Bana Dena ,,


Tmhara Rasta Phir Umr Bhr ,
Takny Sy Acha Hai ,,
K Tum Jany Say Kuch Pehly ,
Meri Ankhen Bujha dyna...




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
 "Agr Raasta khubsurat Hy to pata karo k kis ManziL ko jaata hay,
   Lekin
Agr ManziL khubsurat hy to Raastey ki parwah Mat karo.




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
 Mujhay Chor De Mere Haal Par Tera Kya Bharosa ey Charagar...!
   Teri Mukhtasir Si Navazish Mera Dard aur Barrha Na De...!   (Sadam)




======================================================================


----------------------------------------------------------------------


Ye hamara khoon srkon pr jamy ga kb talk
zulum ki kali ghata toofan  thamy ga kb talk
drd e dil aankhon k zrye khoon ka drya bana.
Koi btlaaye tamasha ye chaly ga kb talk
me k mai pi kr mazalim ki jiyun kaise bhala
aag ka eendhn maira kunba banay ga kb talk
kb talk ye tishnagi zaalim tairi kaafoor ho
zindagi ka kaaruwan yun hi chaly ga kb talk
ho koi munsif to koi dr b ho insaaf ka
haath ghairon k khilona hm najany kb talk
ab na ho brdasht §ahi£ rang e khoon ka khail bs
zabt k piyalon mai sabr peety rahain kb talk




======================================================================
---------------------------------------------------------------------
Ay naye SaaL
bta tujh mein naya kia hai?


Hr tarf khalq
ne Q shor mcha rkha hai?


Roshni din
ki wohi, taaron bhri raat wohi..?


Aaj  bhi hum
ko nzar aati hai
hr baat wohi..!!


Aasman bdla
hai na bdli ye afsurda zameen


Ek hindsay
ka bdalna koi jiddat to nhi..


Agly brson
ki tarha hon ge qareeny tere..


Kisy maalom nahi 12 mahiny tere..?


Be-sabab
dete hain Q log mubarak badain


Sub kya bhool gaye waqt ki karwi yadein..?


Tu nya hai
to dikha subha nai, sham nai


Wrna in
Aankhon ne dekhy hain naye SaaL kai.  




>




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Adhorey khawab k ander..


Kabhi palkein bichhana mat!


Adhoorey khawab aankhon ko..
Boht taklif detey hein


Adhoori yaad Dil ki Sar'zameen mein tum nahi bona!


Adhori yaad dharkan mein
Boht chubti..
Sisakti hy!


Khalish ban ker khatakti hy!


Lahoo mein bijliyan ban ker bhatakti hy!


Adhorey pyaar ko
. . . Lekin . . .
Chalo!
Janey do ab is ko..


Mohabbat, Pyaar aur
Chahat...
Ye hotey hi Adhoorey hein ....!!!!


>=




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
* Kuch youn howa K Jb Bhi Zaroorat Parri MuJhe,,


     ;*'' ''*  
     '^**~,   
     *:, .;*;'/\H¡L


* Sb Dost Ittifaaq Se
Masroof Ho Gaye........!!




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
cheeko: Khud per Maan itna hai kabhi murr kr nahi Daikha---!!


    Jisay keh doon k mera hai Usay Hona Hi parta hai---!!  (Mzzel)




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Pind ki peepal chhaan thallay,
Hum ishq larraya krty thay.


Woh paanday dhonay aati thi,
Hum majh nawaya kertay thay.


Woh her ik kaam mein aagay thi,
Hum her ik kaam mein peechay thay.


Wo sabaq muka bhi jati thi,
Hum pencil gharrya kertay thay.


Garmiyon mein shiker dopehry,
Jaddon ambb pay charrya kertay thay.


Munh sujh kay porrola hota tha,
Jub demoo larrya kertay thay.


Jub woh pind kay khoo pay, mujh say milnay aati thi,
Sheeda, Gaama, Teefa, maana
Muft mein sarrya kertay thay.............. _/:\_




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Ho sky to mjy thora Yaad rkhna,


'DOSTI' ka itna to ehsas rkhna


Tumari duao sy mil jaye shayd kamyabi mjy,


Yeh soch k apni hr "DUA" maen yaad rakhna..




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Tery Wajood Se Hain GuLshan Ki Ronaqein
     ¤~"DOST"~¤








Tery Baad Is Bhari Dunia Ko Hum Weeran Likhein Gay...








======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Haq¡qaton Pe He Dunya Ko A¡traz ßoht


k He M¡zaaje Zamana Fasana Saaz ßoht


Tera Ghuroore ¡ßadat Tujhe Na Le Dooßay


Suna He Parhta Tha ¡ßlees ßh¡ Namaz ßoht


Ye Keh Rahe The Kal Aawargi Ko jaye Yar


Ada¡n Aaj ßh¡ Hen Usk¡ D¡l Nawaz ßoht


Unhen Shaore Mhbbt Nh¡ Khuda K¡ Qasam


Jo Log Hen Ter¡ Mehf¡l Me Sarfaraz ßoht


Mer¡ Khush¡ Ka Zamana Hawa Ka Jhonka Tha


Mere Ghamon K¡ Rah¡ Zndag¡ Daraaz ßoht...






======================================================================


----------------------------------------------------------------------
'Main is bebasi ki dunia main kaise jiyon mohsin  _'_


__'Yahan sakoon tu milta ha magar sub kuch lut jane k baad.


 




======================================================================
.


"*"
Na jala itny diye meri raah-e-guzar mein,,


    "Wasi",,!


K manzil ko bhool k mujhy raaho'n sy pyar ho jaye




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Dil se kuch deir tujko juda rAkhon!


Mere bus me nahi k me tujhe khafa rkhon!


Nahi he kuch bhi mere dil me siwa tere!


Me tjhko bhula don to yad kia rahkon...,




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
 Tum rakh Na sako ge Mera Tohfa Sambhaal kr,




          *..Warna..*






Ay dost Mai tumko abhi de don....












Apne Jism se rooh nikaal kar..




======================================================================


Kb tk rho ge akhir
Yon dor dor Hm se


Milna Pre ga akhir Ek din zror Hm se






Damn ßchny waly Ye ße'Rukhi H kesi?


Kh do agr hwa H Koi ksor Hm se






Hm chor den Ge tm se yun bat cheet krna


Tm pochty phiro gy apna ksor hm se




Hm cheen len gy Tm se Ye Shan'e Be Niazi


Tm mangty phiro gy Apna Ghoroor Hm se




======================================================================


     Kuch Zakham
   sadiyon bad bhi
  taaza rehte hain
   
   


  Waqt k pass bhi
  har Marz ki Dawa
        nhi hoti..




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Ek chaadar ko raah-e-mehbob main bicha dena..


Main marr jaun to usay mera kafan bana dena..


Thori c khaak unn k Qadmon ki le kar!


Meri ankhon main surrma sa laga dena..


Mery janazay ki shan-0-shokat ye hogi,..


Kr k tayyar
koh-e-yaar main ghuma dena..


Jism nhi meri rooh ki taskeen k liye!


Ek aansoo unka mujh pr gira
dena...


Bohat roye ga mujhy dekh dekh kr wo.


Is-liye dair na lagana mujhy jaldi dafna dena..






======================================================================


*
Jab sar-e-sham us ne zulfon ko sanwara hoga,


Hath me kangan aankh main kajal aawara hoga.


Us k joray main sajja wo sufaid gulaab,


Raat ko sotey main kisi ne to utaara hoga.


Aalm-e-tnhaai main shab bhar karwtain lay kr,


Koi to ho ga jisay us ne pukaara hoga.


Haye!
Wo neend main doobi hui makh'moor aankhain,


Jis ne daikha wo dil waheen pe haara hoga.


Us k be-taab larztey huwey honton pey FaRAAZ,


Humein yaqeen hai machlta hua wo naam hmara hoga..




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Be-Khayali, Be-Khudi, Be-Basi De Gaya


Kuch Naye Tajurbay Woh Ajnabi De Gaya


Us K Aajanay Se Har Kami Mit Gai Thi


Jatay Jatay Bus Woh Apni Kami De Gaya


Sochnay K Leye Ek Pal Ki B Mohlat Na Di


Or Jagnay Ko In Aankhon Ko Ek Sadi De Gaya


Le Gaya Jaan O Dil Jism Se Khench Kar


Roh Ko Jatay Jatay Tishnagi de Gaya


Uski Sodagari Main Bhi Ajab Insaf Tha


Eik Zindagi De Gaya,
Eik Zindagi Le Gaya.....!!!!!!




======================================================================
    (GHAZAL)


Ay Mohabat Tere Anjam Pe Rona
Aya
Jane Q Aj Tere Naam Pe Rona Aya
Yun To Hr Sham
Umedon Mn
Guzr Jati Thi
Aj Kuch Bat Hy
Jo Sham Pe Rona
Aya
Kabhi Taqdir Ka
Matam Kbhi Duniya Ka
Gila
Manzil-e-ishq Me
Har Kaam Pe Rona
Aya
Jab Hua Zikr Zamaane Me Mohabat
Ka
Mujhko Apne Dil-e-Nakam Pe Rona Aya..




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Apny dil ki halat wo kisi ko dikhata na tha,


Usey kya gham tha wo kisi ko btata na tha,


Khizan ka mosam jab se uska naseeb hy thehra,


Usey jab se koi or mosam bhata na tha,


Logon ko hansany k wasty zindgi bita di us ne,


Kitna ajeeb tha wo shakhs khud muskurata na tha,


Jany kis k intzar men baitha rahta tha subh-o-sham,


Misl_e morat bana wo palk b jhapkata na tha,


Aaj reh reh kar yaad aaya wo,


Jo dua de kar bhi dua Batata na tha......




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
-KABHI JEET GAYE-
  -KABHI HAAR GAYE-
Kabhi apne kabhi ghair hum ko maar gaye
Kal jo khushiyon men shareek thay
Aaj chorr wo yaar gaye
Na mili MOHABBAT humen kisi se
Dhondty her gali bazar gaye
Qurban jaon un ki ulfat py
Jo MOHABBAT k gulshan nikhr gaye
Humen mili akhir berukhi bewafai
Sab qasmen sb waday bekaar gaye
Ay DOST manzil mubarik ho tumhen
      -TUM JEET GAYE-
       -HUM HAAR GAYE.










======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Zillat-e-tanhai sey ghabra k aya
hon,
Main abhi abhi shehr-e-wafa se aya hon..
Kuch dair hawa ko baton me lgaye rakhna,
Main ghar me ik charagh jala k aya hon..
US ne pocha hy ehd-e-wafa nibhao ge,
So hathon me Quran utha k aya hon..
WO chahay to ab mujse trk-e-talluq kr le,
WO meri ZINDAGI hy usy bata k aya hon..
WO ab b muje ana parast smjhta hy,
Main jisay ro ro k mana k aya hun..






======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Jab kanch uthane parh jayein,
Tum hath hamara le jana,


Jab khud ko tanha pao to,
Tum sath hamara le jana,


Jab smjho jeet muqadar hai,
Or raste hain dushwar bahot,


Na chahte b tum keh dena,
Bay baak sahara le jana,


Jo bazi ab tum jeeto ge,
Jo manzil ab tum pao ge,
Phir chaho to ye keh dena,
K manzil thi mqsod mujhe,


Kab sath hamara chota hai,
Ik muskurahat de jana,
Tum jan hamari le jana,


Jab kanch uthane parh jayein,
Tum hath hamara le jana...




======================================================================


Main uski zaat pe aisy yaqeen rakhta hun"


K jese paaun k neechy zameen rakhta hun"


Haqiqton ki tou badsurti hai apni jaga"


"Magar main khuwab bohot dilnasheen rakhta hun"


"Ye naaz hai k koi nadaan mera dushman nahi"


"Ye fakhar hai k main dost bohot azeem rakhta hoon...










======================================================================


----------------------------------------------------------------------
""~ Jab B jee mein aay Mere pass chali aati Ho,




""~Ae Shab-e-Tanhai kya Tera Ghar Baar Nahi Hai ~""






======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Kisi ko pany ki justuju me


Thakan se khud ko nidhal rkhna


Jb us se milna to kuch na kehna


Fqt nazr me sawal rkhna


Agr tmhen hy sukun ki khwahsh


To srf itna khyal rkhna


Nasib subh-e-uroj ho to


Nazr me sham-e-zawal rkhna


Ye garmion ki udas raten


Or uski yadon ki chandni


Khyal rkhna na bhigen ankhen


Zabt-e-gham me kmal rkhna


Jo tera ghm hy wo ghm hy mra


Tri khushi me mri khushi hy


Jo ho sky to khush hi rhna


Mri khushi ka khyal rkhna






======================================================================


----------------------------------------------------------------------
~*Hai nafs k haathon tu majboor kitna.


~*Sab jaan k bhi aaj hai laa shaoor kitna.


~*Jis chehray ney hai aik din matti main mil jana.


~*Us chehray pe hai tujhe gharoor kitna.


~*Ik sajday k inkaar ne iblees ko banaya shaitaan.


~*Tu  khud jaan le tera hai qasoor kitna.


~*Jin ki Sunnat pe chalna tujhe gawaara nahi.


~*Tere waastey roye they Wo HAZOOR kitna.


~*Tu ne chakkhi hai faqat gunaahon ki lazzat.


~*Tu kya jaaney Zikr-e-Elaahi mein hai suroor kitna.


~*Teri shah rag se bhi ziaada Woh tere qareeb hai.


~*Phir bhi tu Us KHUDAA sey hai door kitna.












======================================================================
---------------------------------------------------------------------
(NEW MiRZA GALIB)


Koi umeed bar nhi aati
Govt. Kahan hy nazr nhi aati.


Chup reh kr bhi dekh lia hum ne
Sharm inko mgr nhi aati.


Pehle hoti thi loadshading 1 ghnta
Ab sara din Lite nhi aati.


Pehle aati thi cheeni 20 rupee kilo
Ab 20 ki to paao bi nhi aati.


Aa jata hay Bilawal hr roz yahan
Behn uski Eid pr be nhi aati.


Bibi ko mare hoe hogae 3 sal
Zrdari ko mgr maut q nhi aati..!




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
         GHAZL
Itne qareeb aao k ji bhar k dekh lein,


Shayid phir milo to ye zoq-e-nazar na ho.


Bin tery kesy Ghum_e_zeest Gawara kr len,


Is say behtr hy k dunya say kinara kr len.


Sath mumkin nahi chalna tø chalø Yun hi sahi,


Døør say hi tery chehry ka nazara kr len.


Aaj tk hø na saka tu tø humara lekin,


Q na hum khud kø meri jan tumhara kr len.


Qurbaten apny muqadar me nahi hain shayad,


Q na hum hijr kø Qismat ka sitara kr len




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Bas Ek Choti Si Haan Kr Do,


Hamare Naam Is Tarah Sara Jahan Kr Do,


Wo Muhabtein Jo Tumhare Dil Me Hain,
Un Ko Zuban Pr Lao Or Biyan Kr Do,


Aaj Bas Tm Kaho Or Kehte Hi Jao,


Hum Bas Sunein Aisa Be-Zubaan Kr Do,


Hoi Purani Dastaan Heer Ranjha Ki,


Tareekh Mohabbt Ki Phir Se Jawan Kr Do,


Aa Jao K Aisa Toot Kar Chahon Tumhein,


Hamari Mohabbt Ko Mohabbt Ka Nishan Kr Do


Apne Dil Me Is Tarah Chupa Lo Mujh Ko,


Rahon Hamesha Is Me Aisa Mera Makaan kr Do..!




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
||*|| AFSOS ||*||


Main Paa Saka Na Bhula Saka,


Na Dil Ki Bat Usay Bata Saka.


Wo Hansi Hansi Mein Hi Chall Dia,


K Main Hath Tak B Na Hilla Saka.


Yoon Hi Sochta Raha Main Door Tak,


Magr Us Ko Kuch  B Na Bata Saka.


Ye Muqaam Hi Tha Ajeeb Sa,


K Main Khud Ko B Na Bacha Saka.


Wo Juda Huva To Kuch Es Tarah,


Koi Rasm Tak Na Main Nibha Saka.


Usay Jana Tha Wo Chala Gya,


Usay Aaj Tak Na Main Bhula Saka.






======================================================================
----------------------------------------------------------------------
     "USE KEHNA"


Hzaron pal tumhare bin.


Na pucho kaise kat'te hain.


Kbi Yaaden rulati hain.


Kbi mosam statey hain,


Use keh do hum Aate hain,


Hme Mayus na krna.


Hmara MAAN rakh lena.


Hme wapis nhi jana,


Hme apna bna lena.


Hme dil mein bsa lena.


Use kehna!
Bohat toote hue dil se.


bohat Rootha nhi krte.


MOHBAT to ibadat hai.


Ise ruswa nhi krte.


Zmaane se chhupate hain


kbi charcha nhi krte.


Suno Aisa nhi krte.


""SAFAR TANHA NHI KRTE""..,




======================================================================


       (=ghazal=)
"Daita, raha faraib koi saadgi k sath/.


"Itna, bara mazaak meri zindagi k saath/.


"Shayad, mili saza es jurm ki mujhay/.


"K, tha mujhay pyaar ek ajnabi k saath/.


"Wo, zehar bhi dety rhy dawa ki trha/,


"itna, bura slook meri sadgi k sath/,


"Apna, smjh k jis k liye ham ujr gay/,


"Kal, sham ja rha tha kisi ajnbi k sath/.




======================================================================
---------------------------------------------------------------------
  " =*GhäZäL* ="
Na ghamon k geet suna kro,


Na kisi ki yad mein jala kro,


Ab chor do ye udasiyan,


Humesha khush raha kro,


Na Khuda kry kisi ko juda,


Hath uthao to ye Dua kro,


Nhi bhaata Tera udas chehra,


Na kabhi preshan hua kro,


Suna hai k mantay ho Humari baat


Hamari khatir hi hansty raha kro




=====================================================================
----------------------------------------------------------------------
"Zindagi" Se Poocho Ye "kia" Chahti Hai


"Bus" Ek ussi ki "Wafa" Chahti hai


"Kitni" "Masoom" or Nadan hai "Zindagi"


"Khud" Bewafa hai or "Wafa" Chahati ha...          ~ ¤ ~  ~ ¤ ~




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
                   "USAY ITNA
   BATA DENA


Main Us se door ho kr B,


Bahut majboor ho kr B,


Dukhon se choor ho kr B,


Usi ko yaad krta hun,


    USAY ITNA
    BATA DENA


Main dukh apne chupa kr B,


Khushi k geet ga kr B,


Hansi honton pr saja kr B,


Usi ko yaad karta hun,


    USAY ITNA
    BATA DENA


Jahan k ghamo mn kho kr B,


Main D¡L k daagh dho kr B,


Kisi k paas ho kr B,


          SIRF
   USI KO YAAD
   KRTA HUN...!




======================================================================
---------------------------------------------------------------------
Main ne us k badly lahjy ki,
wazaht pochi,


kuch dair khmosh rha,


phr muskra k bola,




''PAGAL''


Jb Lehjy badal jaiyn to wazahteyn kaisi... ....?




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
B0ht mas0m they hum b..


Humein ab yaad aata ha..


K hum ik ajnabi k0 umar ki tarek rah0n ka..
Sahara maan bethey they..


K uss k chand chehrey k0..


Hum apne bakht ka r0shan sitara maan bethey they..


Humen malo0m hi kab tha.. '?


K
dasht-e-zindgi ma..


saharey ch0ot jatey hein..


Kabi aisa b h0ta ha..


Nazar jin per theherti ha..


W0 taarey t0ot jatey hain..


B0ht mas0om they hum b...










----------------------------------------------------------------------
Silsilay jo wafa k rakhtey hain,
Hosly inteha k rakhtey hain,


Hum kabhi beddua nahi deitey,
Hum saleeqay dua k rakhtey hain,


Un k daman bhi jaltey deikhey hain,
Wo jo daman bacha k rakhtey hain,


Hum nahi hain shikast k qayal,
Hum safiney jla k rakhtey hain,


Jis ko jana hay wo chala jaey,
Hum diye sub bujha k rakhtey hain,


Hum b kitney ajeeb hain "AJNABI"!
Dard ko dil bna k rakhtey hain.~A.J.N.A.B.I~




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Bohat khamosh reh ker jo sadain muj ko daita tha


Baray sundar se jazbon ki wafain muj ko daita tha


Kabi jo dard ki aatish sulgane muj ko lagti thi


Wo apne saans ki mehkti hawain muj ko daita tha


Usay main ajnabi samja magar har mor per wo


Apne naam ki saari duain muj ko daita tha!




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Hum jese Tanha Logo Ka
Ab Rona Kya Muskorana Kya


Jub Chahney Wala koi Nahi phir Jeena Kya Mar jana kya


So Rung me Jis Ko Socha Tha so Roop me jis Ko Chaha tHa


Wo Jaan-e-ghazal To Rooth Gaya Ab Us ka Haal Sunana Kya


Raaton Ka safar hai Din K liye Aur din me Tammanna Raaton Ki


JUB paon hi rastay Kho bethhay phir rukna kya Gir Jana Kya
 (TALAASH e WAFA)




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
HUMKO loota hy usi shehr ne ae jan_e wafa


JIS ki galion men mohabat ka kuch hisab na tha


WO jo rehty thay mere sath hamesha din bhar


UN K mazhab men wafaon ka koi baab na tha


WO jo ankhon men mohabat ko liye phirtay thay


UN K dil men thi wo nafrat k kuch hisaab na tha


MAIN ne jisko bhi museebat men maseeha jana


JO dia us ne, barra us se kuch azaab na tha


MUJHY khayal tha k yeh log mere apne han WASI


MAGAR wahan pay rishton ka koi riwaaj na tha..




       _===================================================================
--------------------------------------------------------------------
  *I N T E H A*
Roothna khafa rehna, ye Wafa nahi hoti.
Chahaton mein logon se kea khata nhi hoti.


Sab ko aik jaisa kiun tum samajhne lagte ho.
Kiun k sari duniya to bewafa nhi hoti.


Har kisi se yari har kisi se waadey.
Piyar karne walon mein ye ada nhi hoti.


Be-Naqaab Chehre bhi ek Hijaab rakhte hen.
Sirf saat Pardon mein to haya nhi hoti.


Sab kuch kho diya us k pyar mein ham ne.
Kia ye bhi Chahat ki *INTEHA* nhi hoti.










======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Usy Kehna Yeh Duniya hai!


Yahan Har Morr pe Aisy bohat sy Loag milty hain!
Jo Andar Tak Utarty hain!


Abad Tak sath rehny ki!
Akathy Dard sehny ki!
Hamesha Bat karty hain!


Usy kehna..!
Yeh Duniya hai!


Yahan Har Shakhs Matlab ki!
Haddon Tak sath chalta hai..!


Jonhi Mausam Badalta hai!


Muhabbat k Sabhi Daaway!
Sabhi Qasmein!
Sabhi Waaday!
Sabe Rasmen!
Achanak Tout jaty hain!


Usy kehna....!
Yeh Duniya hai...!










======================================================================
..!
----------------------------------------------------------------------
Shoq-e-Wisal K Lamhat Tumhe Baad Me denge,


Wo Madhosh Chandni Raat Tumhe Baad Me Denge,


Pehle Zamane ki Nafraton Ka Mushahida To Kar lo,


Mohabbat Ki Soghat Tumhe Baad Me Denge,


Jisy Parh Kar Mai Tumhe jhat Se Mil jawon,


Wo Wird Wo Aayat Tumhe Baad Me Denge,


Abhi To Hijr Ka Karrwa Zehar Tum B Piyo,


Qurbat Ka Aab-e-Hayat Tumhe Baad Me Denge,


Tum B Piyasa Reh Kar jeene Ka Fun Seekho,


Is Saagar Se Barsat Tumhe Baad Me Denge.




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
  GHAZAL
"Hum bhi kitnay deewanay niklay.!
"Diye se andhera Mitanay niklay.!
"Ghum-e-Dil pe Humaray jo hansa karte hain..!
"Hum un ko he Haal-e-Dil sunanay Niklay..!
"Kaghazi Phoolon per aati Nahi baharen...!
"Ye jaan k bhi Gulshan sajanay Niklay..!
"Duniya mein bikti hain jhoothi kahaaniyan...!
"Sachay afsanay sab Hum jalaanay Niklay...!
"Log Bethay hain Bhar k mutthi mein Namak...!
"Jaanay Kya S0och k Hum Zakham Dikhanay niklay.


  
======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Doodh ki nehar nikali ha ghamon se apny
Ham bta skty hein kia koh-kani hoti ha


Meray senay se zara kan laga kar dekho
Sans chalti ha k zanjeer zani hoti ha.




======================================================================
----------------------------------------------------------------------
Kb Lot k aao ge bta Q nhi dete


Deewar bahano ki gira Q nhi dete


Tum pas ho mere tu Pta Q nhi Chlta


Tum dor ho muj se to Sda Q nhi dete


1 Tere siwa or kisi ko b na Chaha


Ye bat zamanay ko bata Q nhi dete


Bahar ki hawaon ka agr khauf hai itna


Jo Roshni andar hai bujha Q nhi dete


Raton ko jagnay ki saza daitay ho aksar,


Tum hum ko Wfaon ka sila Q nhi dete.




======================================================================


----------------------------------------------------------------------
Na Kar Youn D¡l Azaar¡ Hum Say K Itnay Buray Nah¡ Ha¡n Hum




Mana K Tery Kab¡l Nah¡ Par Yeh To Na Keh K Tery Nah¡ Ha¡n Hum...